Thursday, February 14, 2019

Maut ane ka bayan

MAUT AANE KA BAYAN :- Part 1

Maut ek aisi Haqiqat hai jise koi jhutla nahi sakta.

Allah Jalla Shanahu Irshad farmata hai har jaan ko maut ka maza chakhna hai aur tumhare badle to Qayamat hi ko pure milenge, to jo aag se bacha kar Jannat me dakhil kiya gaya woh murad ko pahuncha  aur duniya ki zindagi to yahi dhoke ka maal hai.     (Aale Imran : 185)

Maal aur bete yeh jeeti duniya ka shrungaar hai aur baqi rehne wali achchi baate unka sawaab tumhare RUB ke yaha behtar aur woh umeed me sab se bhali. (Suah Kahaf : 46)

To Be Continued....

MAUT AANE KA BAYAN :- Part (2)

Jab Allah Taala ne Hazrat Aadam Alaihissalam aur unki Zurriyat ko paida kia to farishto ne kaha ki zameen me unki gunjaish nahi to Allah Taala ne farmaya ki mai maut paida karne wala hu.
(Sharhussudur)

Abu Naem ne Mujaheed se rivayat kia ki Allah Taala ne jab Aadam Alaihissalam ko zameen per utara to farmaya VIRAANA HONE KE LIYE BANAO AUR MARNE KE LIYE JANO.
(Sharhussudur)

MAUT KO KASRAT SE YAAD KARO:-

Hadees :- Hazrat Abu Hurairah (Radi Allahu Ta’ala Anhu) Riwayat Farmate Hai Ki Rasoolullah sallallahu alyhi wasallam ne farmaya duniya ki lazzato ko khatam karne wali MAUT ko kasrat se yaad karo. (Mishqat Shareef)

Hadees Shareef :-
Hazrate Abdullah Ibne Umar Radiyallaho Ta'ala Anho rivayat karte hai ki Rasoolullah sallallahu alyhi wasallam ne mere kandhe (shoulder) ko pakad kar farmaya duniya me is tarah zindagi guzaro goya ki tum musafir ya raah nurid (Raah chalta musafir) ho, Raavi-e-Hadees Ibne Umar Radiyallaho Ta'ala Anho farmate the ki jab tum shaam karo to subha ka intezaar na karo aur subha ho jaye to shaam ka intezaar na karo, apni sehat ko bimari se aur apni zindagi ko maut se pehle ganimat jaan lo.
(Mishqaat Shareef)

To Be Continued....

MAUT AANE KA BAYAN :- PART 3 LAST

MAUT MOMIN KE LIYE TOHFA HAI :-

Hadees Shareef :-
                           Hazrate Abdullah Ibne Umar Radiyallaho Ta'ala Anho rivayat karte hai Rasoolullah sallallahu alyhi wasallam ne farmaya maut momin ke liye tohfa hai.(Mishqat Shareef)

TEEN DEEN SE ZYADAH SOG KARNA JAYEZ NAHI :-

Hadees Shareef :-
Hazrat Mohammad ibne Seerin rivayat karte hai Umme Atiya ka ek Ladka faut ho gaya unhone teesre din khushbu manga kar apne badan par lagayi aur boli hume shauhar ke alava kisi aur par teen din se zyada sog karne se roka gaya hai. (Bukhari Shareef)

Hadees :-
Hazrate Abdullah Ibne Umar Radiyallaho Ta'ala Anho rivayat karte hai Rasoolullah sallallahu alyhi wasallam ne farmaya mayiat per Qabr me maatam ke baayis azaab hota hai.
(Bukhari Shareef)

Part End....

No comments:

Post a Comment