Thursday, February 14, 2019

Jannat ka bayan

JANNAT KA BAYAN🏺*_
PART:-1_

*Bismillahirrahmanirrahim*

Jannat Ek Makan Hai Allah Tala Ne Iman Walo Ke Liye Banaya Hai Isme Wo Nemate Mohayya Ki Hain Jinko Na Aankho Ne Dekha Na Kano Ne Suna Na Kisi Aadmi Ke Dil Par Inka Khatra Guzra-

HUZOOR E AKRAM ﷺ*  Is Liye Jannat Ki Koi Misal Di Hi Nahi Or Na Di Jaa Sakti Kyu Ke KA'ABA SHAREEF Jannat Se A'ala Hai Or _*HUZOOR E ANWAR ﷺ*_  Ki TURBAT To *KA'ABA* SHAREEF Balki ARSH Se Bhi Afzal Hai Magar YE Duniya Ki Cheezein Nahi, Haan Jinhone ALLAH Ke Karam Se Apni Duniyawi Zindagi Me Jannat Ko Dekha Wo Jante Hain Ki Jannat Me Kya Kya Cheezein Hain Or Usme Kitna Aaram Hai,

Jo Koi Misal Iski Tarif me Di Jaye Samjhane Ke Liye Hai Warna Dunya Ki Aala Se Aala Shae Ko Jannat Ki Kisi Chiz Ke Saath Kuch Munasbat Nahi, Waha'n Ki Koi Aurat Agar Zameen Ki Taraf Jhanke To Zameen Se Aasman Tak Roshan Hojaye Or Khusbu Se Bhar Jaye Or Chand Suraj Ki Roshni Jati Rahe Or Oska Dupatta Dunya O Mafiha Se Behtar-

Or Ek Rawayat me Yu'n Hai Ke Agar Hoor Apni Hatheli Zameen O Aasman Ke Darmiyan Nikale To Iske Husn Ki Wajah Se Khalaiq Fitne me Pad Jaye Or Agar Apna Dupatta Zahir Kare To Iski Khubsurti Ke Aage Aaftab Aesa Hojaye Jaise Aaftab Ke Samne Chirag-

Jannat Ki Lambaai Chorhaai Ke Baare Me Kisi Ko Kuch Pata Nahi, _*ALLAHﷻ* Or _*RASOOL ﷺ*_ Behtar Jante Hain.

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-152-153)*_

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH.

JANNAT KA BAYAN🏺*_
PART:-2_

Bismillahirrahmanirrahim

Mukhtasar Ye Hai Ki Jannat Me 100 Darje Hain,
EK Darje Se Dusre Darje Me Itni doori Hai Ki Jaise Zameen Se Aasmaan Tak,

Tirmizee Shareef* Ki Ek Hadees Ka MATLAB Ye Hai Ki Jannat Ke Ek Darje Me Agar Sara Aalam Samaa Jaye To Fir Bhi Jagah Baqi Rahegi Jannat Me Ek Itna Bada Darakht Hai Ki Agar Os Ke Saaye Me Koi 100 Baras Tak Tez Ghodhe Se Chalta Rahe To Bhi Wo Sayaa Khatam Nahi Hoga,

Jannat Ke Darwazo'n Ki Chourhaai Itni Hogi Ki Oske Ek Seere Se Dusre Seere Tak Tez Ghodhe Se 70 Saal Ka Rasta Hoga, Fir Bhi Jannat Me Jane Wale Itne Zyada Honge Ki Modhe se Mondhe Chhilta Hoga Balki Bheedh Se Darwaze Charcharaane Lagega,

Isme Qism Qism Ke Jawahar ke Mahal Hain,
Aese Saaf O Safaf Ke Andar Ka Hissa Bahar Se Or Bahar Ka Andar Se Se Dekhai De-

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-153-154)*_

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH.

JANNAT KA BAYAN🏺*_
PART:-3

Bismillahirrahmanirrahim

Jannat Ki Diware Sone Chandi Ki Aento'n Or Mushk Ke Gaare Se Bani Hain Ek Aent Sone Ki Ek Chandi Ki Zameen Zaafran Ki Kankaryo'n Ki Jagah Moti Or Yaqoot Hongi-

Jannat me Ek Ek Moti Ka Khima Hoga Jiski Bulandi 60Meel Hogi Jannat Me 4 Darya Hai-
*1)PANI*
...
*2)DUDH*
...
*3)SHAHAD*
...
*4)SHARAB*

Fir inse Nahre Nikal Kar Har Ek Ke Makan Me Jarahi Hain, Waha'n Ki Nahre Zameen Khod Kar Nahi Bahti Balke Zameen Ke Upar Upar Bahti Hain-
Nahro Ka Ek Kinara Moti Ka Dusra kinara Yaqoot Ka Or Nahro'n Ki Zameen Khalis Mushk Ki Hai-

Wahan Ki Sharab Dunya Ki Sharab Jaisi Nahi Jisme Badbu Or Karwahat Or Nasha Hota Hai Or Pine Wale Be Aqal Hojate Hain-
Wo Paak Sharab In Sab Bato Se Paak Hai-

Jannatiyo Ko Jannat me Har Qism Ke Mazedar Khane Milenge Jo Chahenge Foran Unke Samne Mauzud Hoga-

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-154-155)*_

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH.

JANNAT KA BAYAN🏺*_
PART:- 4

Bismillahirrahmanirrahim

Agar Jannati Kisi Parinda Ka Gost Khana Chahenge To Osi Waqt Bhoona Hua Gosht Oske Samne Aa Jayega, Agar Koi Pani Peena Chahe To Pani Ka Kuzaa (Piyala) Oski Pyas Ke Mutabiq Oske Paas Aa Jayega, Zaroorat Se Na Ek Boond Kam Hoga Na Ek Boond Zyada, Peene Ke Baad Wo Aabkhora (Pani Peene Ka Bartan) Khud Uske Paas Se chala Jayega,

Jannat me Najaasat, Gandagi, Pakhana,Peshab, Thook,Kaan Ka Meil Or Badan Meil Wagairah Koi Gandagi Nahi Hogi, Jannati Logo'n Ko Peshab Pakhana Nahi Hoga, Sirf Ek Khusboodaar Or Farhat Bakhsh Dakaar Or Khusboodaar Paseena Nikalega, Jannatiyo'n Ka Khaya Hua Sab HazamTHE
Ho Jayega Or Nikale Hue Paseene Or Dakaar  Ki Khuhboo Mushk Ki Hogi,

Har Waqt Zuban Se Tasbeeh-O-Takbeer Wagairah Bina Iraade Ke, Bina Mehnat Ke Jaise Saans Chalti Hai Osi Tarah Aadmi Ki Zaban Se *ALLAHﷻ* Ki Tasbeeh Jaari Rahegi,
Har Jannati Ke Sahrane 10000 Khaadim Khade Honge,
in Khadimon Ke Ek Hath Me Chandi Ka Piyala Or Dusre Hath Me Sone Ka Piyala Hoga Or Har Piyale Me Nai Nai Ne'amtein Hongi,
F
(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-156-157)*_

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH.

JANNAT KA BAYAN🏺*_
PART:-5
Jannat Badhti Jayegi,
Har Luqme Or Niwaale me 70 Maze Honge,
Har Ek Maza Alag Hoga Or Jannati Sabko Ek Sath Mahsoos Karenge,
Na To Jannatiyo'n Ke Kapde Maile Honge Or Na Unki Jawaani Dhalegi,

Jannat Me Jo Pahla Giroh Jayega Unke Chehre Chand Ke Choudhwi Raat Ke Chand Ki Tarah Chamakte Honge,
Dusre Giroh Wo Jaise Koi Nehayat Roushan Sitara, Jannatiyon Ke Dil Me Koi Bhed Bhaw Na Hoga,

Aapas Me Ek Dil Honge
Jannatiyo'n Me Har Ek Ko Khaas Hooron Me Se Kam Se Kam 2 Biwiyaan Milengi
Ki 70, 70 Jode Pahne Hongi Fir Bhi Un Lebaso Jodo Or Gosht Ke Bahar Se Unki Pindaliyon Ka Magz Dikhaai Dega Jaise
Safed Glass Me Surkh (Red) Sharab Dikhaai Deti Hai,

Yeh Is Liye Ki *ALLAHﷻ* Ne Un Hooron Ko Yaqoot Ki Tarah Kaha Or  Yaqoot  Me
Agar Chhed Karke Dhaga Dala Jaye To Zaroor Bahar Se Dikhaai Dega,
Aadmi  Apne Chehre  Unke Rukhsar Me Aaine Se Bhi Zyada Saaf Dekhega,
Oske Rukshar Par Mamooli Moti Hoga Lekin Os Moti Me Itni Chamak Hogi Ki Usse Poorab Se Pashchim Tak Roushan Ho Jayega,

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-157-158)

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH..

JANNAT KA BAYAN🏺*_
PART:-6

Bismillahirrahmanirrahim

Jannat Ka Kapda Duniya Me Pahna Jaye To Ose Dekhne Wale Behosh Ho Jaye,
Mard Jab Jannat Ki Auraton Ke Paas Jayega To Unhe  Har Baar Ku'nwari Payega Magar Iski Wajah Se Mard Aurat Kisi Ko Koi Taqleef Na Hogi,
Hooron Ke Thook Me Itni Mithaas Hogi Ki Agar Koi Hoor Samundar Me Ya 7
Samundar Me Thook De To Saare Samundar Shahad Se Zyada Mithe Ho Jayenge.

Jab Koi Aadmi Jannat Me Jayega To Uske Sarhane Or Paitaane 2 Hoorein Bahut
Zyada Acchi Aawaz Se Gana Gayengi Magar Gana Dhol Baajon Ke Sath Nahi Hoga Balki Woh Apne Gaanon Me
ALLAHﷻ Ki Ta'areef Karengi

Unki Aawaz Inti Mithi Hogi Ki Kisi Ne Waisi Aawaz Na Suni Hogi Or Wo Ye Bhi Gayengi Ki Hum Hamesha
Rahne Waliyan Hain Kabhi Na Marenge,
Hum Chain Waliyan Hain Kabhi Taqleef Me Na Padenge Or Hum Raazi Hain
Naraz Na Honge Or Yeh Bhi Kahengi Ke  Uske Liye Mubarak Baad Jo Humara
Or Hum Uske Ho'n,

Jannatiyo'n Ke Sar Ke Baal Palko'n Or Bhawo Ke Alawa Kahin Baal Na Honge,
Unki Aakhein Surmangi Hongi,
30 Baras Se Zyada Koi Maloom Na Ho'nge

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-159)

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH.

JANNAT KA BAYAN
PART:-7

Bismillahirrahmanirrahim

Mamooli Jannati Ke Liye 80000 Khaadim Or 72 Biwiyan Hongi,
Or Unko Aise Taaj Diye Jayenge Ki Usme Mamooli Moti Se Bhi Poorab Se Pachchim Tak Chamak Ho
Jayegi Agar Koi Yeh Chahe Ki Uske Aulaad Ho To Aulaad Hogi Lekin Aan Ki Aan Me Baccha 30 Saal Ka Ho Jayega Jannat Me Na Nind Aayegi Na Koi Marega,

Har Jannati Jannat Me Jayega To Usko Uske Nek Kaamo Ke Mutabiq Martaba  Milega Or *ALLAHﷻ* Ke Karam Ka Koi Shumar Nhi,
Fir Jannatiyo'n Ko Ek Hafte Ke Baad ijaazat Di Jayegi Ki Wo Apne *Parwardeegar* Ki Ziyarat Karein,
Fir *ALLAHﷻ Ka ARSH* Zahir Hoga Or *ALLAH T'ALA* Jannat Ke Baagon Me
Se Ek Baag Me Tajallee Farmayega Jannatiyon Ke Liye Noor Ke Moti Ke Yaqoot Ke, Zabarjad Ke, Sone Ke, Or Chandi Ke Mimber Honge,

Or Kam Se Kam Darje Ke Jannati Mushk Or Kaafoor Ke Teele Par Baithenge
Or Unme Aapas Me Adnaa Or A'ala Koi Na Hoga
*KHUDA* Ka Deedar Aise Saaf Hoga Jaise Sooraj Or Choudhwi Ke Raat Ke Chand
Ko Har Ek Apni Jagah Se Dekhta Hai.

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-160)

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH.

JANNAT KA BAYAN🏺*_
PART:-8

Bismillahirrahmanirrahim

ALLAHﷻ* Ki Tajalli Har Jannati Par Hogi
*ALLAH T'ALA* Un Jannatiyo'n Me Se Kisi Ko Uske Gunah Yaad Dila Kar Farmayega Ki Ae Falaa'n Ke Ladke Falaa'n Tujhe Yaad Hai Jis Din Tune Aesa Aesa Kiya Tha-
Banda Jawab Dega Ki *YA ALLAHﷻ* Kya Tune Mujhe Baksh Nahi Diya Tha?
*ALLAHﷻ* Farmayega Ki Haan Meri Magfirat Ki Wus'at Ki Wajah Hi Se Tu Is
Martabe Ko Pahuncha Hai,

Wo Sab Isi Halat Me Honge Ki Badal Chayega Or Unpar Khushboo Ki Barish Hogi Ki Un Logo'n Ne Aisi
Khushboo Kabhi Na Paai Hogi,
Fir *ALLAHﷻ* Farmayega Ki Us Taraf Jaao Jo Maine Tumhare Liye Izzat Taiyyar Kar Rakhi Hai, Osse Jo Chaho Le Lo.

Log Fir Ek Aese Bazar Me Pahuchenge Jise Faristo'n Ne Gher Rakha Hoga Or
Unme Aisi Cheezein Hongi Ki Na To Aankhon Ne Dekha Hoga Na Kaanon Ne Suna Hoga Or Na Un Cheezon ka Kisi Ne Kabhi Dheyan Kiya Hoga.

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-161)

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH.

JANNAT KA BAYAN
LAST PART:-09

Bismillahirrahmanirrahim

Jannati Osme Se Jo Cheez Pasand Karenge Unke Sath Kar Di Jayegi Jannati Jab Aapas Me Ek Dusre Se
Milenge Or Chote Ruttbe Wala, Bade Rutbe Wale Ke Libaas Ko Dekh Kar Pasand Karega To Abhi Baatein Khatam Bhi Na Hongi Ki Chote Martabe Wala Apne Kapde Ko Bade Martabe Wale Se Accha Samajhne Lagega Ye Is Liye Ki Jannat Me Kisi Ke Liye Gum Nahi,
Fir Waha'n Se Apne Makaano'n Ko Wapas Ayenge,

Unki Biwiyaan Unka Isteqbaal Karengi Or Mubarak Baad De Kar Kahengi Ki AapKa Jamaal Yani Khubsurti Pahle Se
Bhi Kahin Zyada Badh Gai Hai,
Woh Jawab Dega Kyu'nki Hame *ALLAHﷻ* Ke
Darbaar Me Haziri Naseeb Hui Is Liye Hame Aesa Hi Hona Chahiye.

Jannati Jab Aapas Me Ek Dusre Se Milna Chahenge To Iske 2 Tareeqe Honge,
Ek Ye Ki Ek Ka Takht Dusre Ke Paas Chala Jayega,

Or Ek Rawayat Me Hai Ke Jannatiyo'n Ke Paas Aala Darje Ki Sawaariya'n Or Ghode Laye Jayenge Un Par Sawaar Hokar Jab Chahe Or Jaha'n Chahe Chale Jayenge,
Sabse Kam Darje Ka Wo Jannati Hai Ki Uske Bagaat(Garden). Biwiya'n, Khadim Or Takht Itne Zyada Honge Ki Hazaar Baras Ke Safar Tak Ki Ye Tamam Cheezein Faili Hui Hongi,

Un Jannatiyo'n Me *ALLAHﷻ* Ke Nazdik Sabse izzat Wala Wo Hai Jo Oska Deedar Subah Shaam Karega, Jannati Jab Jannat Me Pahunch Jayenge Or Jannat Ki Ne'amate Unke Samne Hongi Or Jannat Ke Chain Wa Aaram Ko Jaan Jayenge To *ALLAH TABARAK WA T'ALA* Unse Puchhega Ki Kya Kuch Or Chahte Ho?
To Wo Kahenge Ki  *YA ALLAHﷻ* Tune Hamare Chehre Roushan Kiye Jannat Me Dakhil Kiya Or Jahannam Se Najaat Di,
Os Waqt Parda Ke Makhloq Par Tha Uth Jayega To *Deedar-E-Elahi* Se Badh Kar Unhe Koi Chiz Na Mili Hogi.

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-161-162)*_

*🕋YA ALLAHﷻ HAMKO APNE PYARE NABI PAAK HUZUR TAJDAR-E-MADINAصلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم JO RA,OOF O RAHEEM HAIN UNKE WASEELE SE APNA DEEDAR NASEEB FARMA*
*💫آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ💫*

PART END...⤴*

No comments:

Post a Comment