Thursday, February 14, 2019

Maut ane ka bayan

MAUT AANE KA BAYAN :- Part 1

Maut ek aisi Haqiqat hai jise koi jhutla nahi sakta.

Allah Jalla Shanahu Irshad farmata hai har jaan ko maut ka maza chakhna hai aur tumhare badle to Qayamat hi ko pure milenge, to jo aag se bacha kar Jannat me dakhil kiya gaya woh murad ko pahuncha  aur duniya ki zindagi to yahi dhoke ka maal hai.     (Aale Imran : 185)

Maal aur bete yeh jeeti duniya ka shrungaar hai aur baqi rehne wali achchi baate unka sawaab tumhare RUB ke yaha behtar aur woh umeed me sab se bhali. (Suah Kahaf : 46)

To Be Continued....

MAUT AANE KA BAYAN :- Part (2)

Jab Allah Taala ne Hazrat Aadam Alaihissalam aur unki Zurriyat ko paida kia to farishto ne kaha ki zameen me unki gunjaish nahi to Allah Taala ne farmaya ki mai maut paida karne wala hu.
(Sharhussudur)

Abu Naem ne Mujaheed se rivayat kia ki Allah Taala ne jab Aadam Alaihissalam ko zameen per utara to farmaya VIRAANA HONE KE LIYE BANAO AUR MARNE KE LIYE JANO.
(Sharhussudur)

MAUT KO KASRAT SE YAAD KARO:-

Hadees :- Hazrat Abu Hurairah (Radi Allahu Ta’ala Anhu) Riwayat Farmate Hai Ki Rasoolullah sallallahu alyhi wasallam ne farmaya duniya ki lazzato ko khatam karne wali MAUT ko kasrat se yaad karo. (Mishqat Shareef)

Hadees Shareef :-
Hazrate Abdullah Ibne Umar Radiyallaho Ta'ala Anho rivayat karte hai ki Rasoolullah sallallahu alyhi wasallam ne mere kandhe (shoulder) ko pakad kar farmaya duniya me is tarah zindagi guzaro goya ki tum musafir ya raah nurid (Raah chalta musafir) ho, Raavi-e-Hadees Ibne Umar Radiyallaho Ta'ala Anho farmate the ki jab tum shaam karo to subha ka intezaar na karo aur subha ho jaye to shaam ka intezaar na karo, apni sehat ko bimari se aur apni zindagi ko maut se pehle ganimat jaan lo.
(Mishqaat Shareef)

To Be Continued....

MAUT AANE KA BAYAN :- PART 3 LAST

MAUT MOMIN KE LIYE TOHFA HAI :-

Hadees Shareef :-
                           Hazrate Abdullah Ibne Umar Radiyallaho Ta'ala Anho rivayat karte hai Rasoolullah sallallahu alyhi wasallam ne farmaya maut momin ke liye tohfa hai.(Mishqat Shareef)

TEEN DEEN SE ZYADAH SOG KARNA JAYEZ NAHI :-

Hadees Shareef :-
Hazrat Mohammad ibne Seerin rivayat karte hai Umme Atiya ka ek Ladka faut ho gaya unhone teesre din khushbu manga kar apne badan par lagayi aur boli hume shauhar ke alava kisi aur par teen din se zyada sog karne se roka gaya hai. (Bukhari Shareef)

Hadees :-
Hazrate Abdullah Ibne Umar Radiyallaho Ta'ala Anho rivayat karte hai Rasoolullah sallallahu alyhi wasallam ne farmaya mayiat per Qabr me maatam ke baayis azaab hota hai.
(Bukhari Shareef)

Part End....

Dozakh ka bayan

DOZAKH KA BAYAN Part;-01

ALLAHU AKBAR

Ye Ek Makaan Hai Ke Os Qahaar O Jabbar Ke Jalal O Qahar Ka Mazhar Hai.
Jis Tarah Oski Rahmat O Nemat Ki Inteha Nahi.
Isi Tarah Iske Ghajab O Qahar Ki Koi Had Nahi Ke Har Wo Taklif Tabahi Barbadi Ko Sochi Samjhi Jaye-

Ek Adna Hissa Hai Oske Be Inteha Azaab Ka Qur'an Majeed O Ahadees Me Jo Iski Sakhtiya'n Darz Hain Unme Se Kuch Bayan Karta Hun.
Ke Musalman Dekhe Or Isse Panah Mange Or Un Aamaal Se Bache Jinki Jaza Jahannam Hai-

Hadees Me Hai Ke Jo Banda Jahannam Se Panah Mangta Hai.
Jahannam Kahta Hai Ae Mere *RAB*! Ye Mujhse Panah Mangta Hai Tu Isko Panah De.
Qur'an Majeed Me Kasrat Se Irshad Hua Ke Jahannam Se Bacho! Dozakh Se Daro! Hamare *AAQA-O-MAULA صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم* Humko Sikhane Ke Liye Kasrat Ke Saath Osse Panah Mangte-

Jahannam Ke Sharare(Jingaarya'n Shole) Unche Unche Mahlo Ke Barabar Udenge Goya Zard Rang Ki Ont(Camel) Ki Qataar Ke Peham Ate Rahenge-

Qur'an Majeed Me Iska Tazkira Surat-Tul-Murshilaat Ayat 32-33 Me Mouzud Hai-
[BAHAR-E-SHARIAT, DOZAKH KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-163-]

MAZMOON JARI HAI

DOZAKH KA BAYAN Part;-02

Suratul-Ul-Baqara Ayat 24 Me Jahannam Ka Aedhan Ka Zikr Is Tarah Mauzood Hai
*📖فَاتَّقُوا النَّارَ الَّتِیۡ وَقُوۡدُہَا النَّاسُ وَ الۡحِجَارَۃُ﴿۲۴﴾*
Jahannam Ka Aedhan Aadmi Or Patthar Hai-

Dunya Ki Aag Se Jahnnam Ki Aag 70 Guna Zyada Garam Hai Jisko Kamm Darja Ka Azaab Hoga Ose Aag Ki Jootiya'n Pahna Di Jayegi Jisse Oska Dimag Aesa Kholega Jaise Taambe Ka Bartan Kholta Hai.
Wo Samjhega Ke Sabse Zyada Azaab Ospar Hi Horaha Hai Lekin Ospe Sabse Halka Azaab Horaha Hai-

Jispar Sabse Halka Azaab Hoga Osse *ALLAHﷻ* Puchega: Ke Agar Saari Zameen Teri Hojaye To Kya Is Azaab Se Bachne Ke Liye Tu Sab Fadya Me Dedega(Wo Maal Rupya Jise Dekar Qaidi Reha Ho)?
Arz Karega: Haan!
Farmayega: Ke Jab Tu Pust Aadam Me Tha To Humne Isse Bahaut Asaan Chiz ka Hukm Diya Tha Ke Kufr Na Karna Magar Tune Na Mana-

Jahannam Ki Aag Hazaar Saal Tak Sulgai Gai To Ye Surkh Hogai.
Fir Hazaar Saal Sulgai Gai To Safed Hogai.
Fir Hazaar Saal Sulgai Gai To Siyah Hogai.
To Ab Nari Siyah Hai Jisme Roshni Ka Naam Nahi-

[BAHAR-E-SHARIAT, DOZAKH KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-164-]

MAZMOON JARI HAI*

DOZAKH KA BAYAN Part;-03

Jibrail عليه السلام Ne Nabi صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم  Se Qasam Kha Kar Arz Ki Ke Agar Jahannam Se Soi(Needle) Ke Naake Ki Barabar Khol Diya Jaye To Tamam Zameen Wale Sab Iski Garmi Se Mar Jaye

Or Qasam Kha Kar Kaha : Ke Agar Jahannam Ka Koi Daroga(Custodian) Ahle Dunya Par Zahir Ho To Zameen Ke Rahne Wale Tamam Ke Tamam Oski Haebat Dar Se Mar Jaye.
Or Ba Qasam Bayan Kiya: Ke Agar Jahannamiyo'n Ke Zanjeer(Fetter) Ki Ek Kadi Dunya Ke Pahado Par Rakh Di Jaye To Pahaad(Mountain) Kaanpne Lage Or Unhe Qaraar Na Ho Yaha'n Tak Ke Niche Ki Zameen Dhans Jaye-

Ye Dunya Ki Aag(Jiski Garmi Or Tezi Se Koun Waqif Nahi Hai Ba'z Mausam Me To Iske Qareeb Jana Duswaar Hota Hai, Fir Bhi Ye Aag) Khuda Se Dua karti Hai Ke Ise Jahannam Me Fir Na Le Jaye.
Magar Taj'jub Hai Insaan Se Ke Jahannam Me Jane Ka Kaam Karta Hai Or Os Aag Se Nahi Darta Jisse Aag Bhi Darti Or Panah Mangti Hai-

[BAHAR-E-SHARIAT, DOZAKH KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-165-]

MAZMOON JARI HAI*

DOZAKH KA BAYAN Part;-04

Dozakh Ki Gahrai Ko Khuda Hi Jane Ke Kitni Gahri Hai.
Hadees Me Hai Ke Agar Patthar Ki Chattaan Jahannam Ke Kinare Se Osme Phenki Jaye To 70 Saal Me Bhi Niche Tak Na Poh'chegi-

Or Agar Insaan Ke Sir Barabar Sisa Ka Gola Aasman Se Zameen Ko Phenka Jaye To Raat Aane Se Pahle Zameen Tak Pahunch Jayega Hala'nke Ye 500 Saal Ki Raah Hai.
Fir Osme Tarah Tarah Ke Tabqaat O Wadi Or Kuwe(Well), Hain
Ba'az Wadi Aesi Hain Ke Jahannam Bhi Har Roz 70 Marataba Ya Osse Zyada Baar Panah Mangta Hai-

Ye Khud Os Makaan Ki Halat Hai, Agar Isme Or Kuch Azaab Na Hota To Yahi Kiya Kamm Tha! Magar Kuffar Ki Sarjanis Ke Liye Or Tarah Tarah Ke Azaab Isme Hai.
Lohe Ke Aese Bhari Gurzu Hatyar Saman Se Farishte Marenge Ke Agar Koi Hatyar Zameen Par Rakh Diya Jaye To Tamam Jin Or Insaan Jama Hokar Osko Utha Nahi Sakte -
[BAHAR-E-SHARIAT, DOZAKH KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-166-]

MAZMOON JARI HAI*

DOZAKH KA BAYAN*
          Part;-05

Ont(Camel) Ki Gardan Ke Barabar Bichchu(Scorpion) Or ALLAHﷻ Jane Kis
Qadar Bade Saanp(Snake) Ke Agar Ek Martaba Kaat Le To Iski Sojish(Swelling,inflammation)
Dard Be Chaini 1000 Saal Tak Rahe-

Tel Ki Jali Hui Tah Ki Misl Sakht Kholta Pani Pine Ko Diya Jayega Ke Muh Ke Qareeb Hote Hi Iski Tezi Se Chehre Ki Khaal Gir Jayegi-

Quran Me Iska Tazkira Is Surah Me Aya Hai.
*🎴وَ اِنۡ یَّسۡتَغِیۡثُوۡا یُغَاثُوۡا بِمَآءٍ کَالۡمُہۡلِ یَشۡوِی الۡوُجُوۡہَ*
*: سورة الكهف 29*

Sir Par Garam Pani Bahaya Jayega.
Jahannamiyo'n Ke Badan Se Jo Peep(Pus) Bahegi Wo Pilai Jayegi-

📖Iska Bhi Zikr Quran Majeed Ke Is Surah Me Mouzud Hai
*🎴یُصَبُّ مِنۡ فَوۡقِ رُءُوۡسِہِمُ الۡحَمِیۡمُ ﴿ۚ۱۹﴾*
*: سورة الحج 19*

*🎴مِّنۡ وَّرَآئِہٖ جَہَنَّمُ وَ یُسۡقٰی مِنۡ مَّآءٍ صَدِیۡدٍ ﴿ۙ۱۶﴾*
*: سورة إبراهيم 16*

Khaar Daar Thuhad(Zahrila Darakht Jisme Se Doodh Nikalta Hai) Wo Khane Ko Diya Jayega Wo Aesa Hoga Ke Agar Iska Ek Qatra Dunya Me Aye To Iski Sojish O Badbu Se Tamam Ahle Dunya Ki Ma'esat(Economy) Barbad Karde-

_[BAHAR-E-SHARIAT, DOZAKH KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-167-]

MAZMOON JARI HAI*

DOZAKH KA BAYAN Part;-06

Khaar Daar Zahrila Darakht Khayega To Wo Gale Me Jakar Phanda Dalega.
Iske Utarne Ke Liye Paani Mangege To Unko Wo Kholta Hua Pani Diya Jayega Ke Mu'h Ke Qareeb Aate Hi Mu'h Ki Saari Khaal Gall Kar Osme Gir Padegi Or Pet Me Jate Hi Aanto(Intestinal) Ko Tukde Tukde Kar Dega-

Or Wo Shorbe Ki Tarah Bah Kar Qadmo'n Ki Taraf Niklegi.
Piyaas Is Bala Ki Hogi Ke Is Pani Par Aese Girenge Jaise To'Nas(Yaani Intehai Shadid Piyas) Ke Mare Hue Ont(Camel).

Phir Kuffar Jaan Se Aaziz Aakar Ba'Ham Mashwara Karke Malik عليه الصلوٰة و السلام Daroga-E-Jahannam(Jahannam Ke Mohafiz) Ko Pukarenge Ke Ae Malik(عليه الصلوٰة و السلام)! Tera Rab Hamara Qissa Tamam Karde.
Malik عليه الصلوٰة والسلام Hazaar Saal Tak Jawab Na Denge.
Hazar Saal Ke Baad Farmayenge Mujhse Kya Kahte Ho.
Osse Kaho Jiski Na"Farmani Ki Hai!

100 Saal Taak Rab-Ul-Izzat Ko Oski Rahmat Ke Naamo'n Se Pukarenge.
Wo 100 Saal Tak Jawab Na Dega.

Iske Baad Farmayega To Ye Farmayega" Door Hojao! Jahannam Me Pade Raho! Mujhse Baat Na Karo! Os Waqt Kuffar Har Qism Ki Khair Se Na Umeed Ho Jayenge-

Or Gadhe Ki Awaz Ki Tarah Chilla Kar Royenge Ibteda"an Aanso Niklega Jab Aanso Khatam Ho Jayenge To Khoon Ki Aanso Royenge.
Rote Rote Gaalo Me Khandaqo'n(Trenches) Ki Misl Gad'he(Pit-گڑھے)Pad Jayenge.
Rone Ka Khoon Or Peep(Pus) Is Qadar Hoga Ke Agar Osme Kashtiya(Boat)Dali Jaye To Chalne Lage-

[BAHAR-E-SHARIAT, DOZAKH KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-168-169-]*_

MAZMOON JARI HAI

DOZAKH KA BAYAN*
          Part;-08

Phir Aakhir Me Kuffar Ke Liye Ye Hoga Ke Oske Qad Ke Barabar Aag Ke Sandoq(Box) Me Ose Band Karenge.
Fir Osme Aag Bhadkayege Or Aag Ka Qufal(Ek Qism Ka Tala)Lagaya Jayega.
Phir Ye Sandoq Aag Ke Dusre Sandoq Me Rakha Jayega Or In Dono Ke Darmiyan Aag Jalai Jayegi Or Isme Bhi Aag Ka Tala Lagaya Jayega.
Phir Isi Tarah Osko Ek or Sandoq Me Rakh Kar Or Aag Ka Tala Laga Kar Aag Me Daal Diya Jayega To Ab Har Kafir Ye Samjhega Ke Iske Siwa Ab Koi Aag Me Na Raha-

Or Ab Hamesha Iske Liye Azaab Hai.
Jab Sab Jannati Jannat Me Dakhil Ho Jayenge  Or Jahannam Me Sirf Wahi Rah Jayenge Jinko Hamesha Ke Liye Isme Rahna Hai.
Is Waqt Jannat O Dozakh Ke Darmiyan Mout Ko Mendhe Ki Tarah La Kar Khada Karenge Phir Munadi(Pukarne Wala) Jannat Walo Ko Pukarega.
Jannati Darte Hue Jhankenge Ke Kahi Aesa Na Ho Ke Yaha'n Se Nikalne Ka Hukm Ho.
Phir Jahannamiyo'n Ko Pukarega Wo Khus Hote Hue Jhankenge Ke Sayad Is Musibat Se Rehai Hojaye.
Phir In Sab Se Puchega Ke Ise Pahchante Ho?

Sab Kahenge Haa'n! Ye Mout Hai.
Mout Ko Zibah Kar Di Jayegi Or Kahega: Ae Ahle Jannat ! Hameshgi Hai Ab Marna Nahi.

Or Ae Ahle Naar! Hameshgi Hai Ab Mout Nahi.

Os Waqt Jannati Ke Liye Khusi Par Khusi Hai.

Or Jahannami Ke Liye Gham Balaye Gham-

[BAHAR-E-SHARIAT, DOZAKH KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-170-171]

*📖رَبَّنَاۤ  اٰتِنَا فِی الدُّنۡیَا حَسَنَۃً  وَّ فِی الۡاٰخِرَۃِ حَسَنَۃً  وَّ قِنَا عَذَابَ النَّارِ ﴿۲۰۱﴾*
Hame Dunya Me Bhalai De Aur Akhirat Me Bhalai De Aur Hame Azaab-E-Dozakh Se Bacha-
*: سورة البقرة 201*

*📖رَبَّنَاۤ اِنَّنَاۤ اٰمَنَّا فَاغۡفِرۡ لَنَا ذُنُوۡبَنَا وَ قِنَا عَذَابَ النَّارِ ﴿ۚ۱۶﴾*
Hum Iman Laye Tu Hamare Gunah Muaf Kar Or Hame Dozakh Ke Azaab Se Bacha Le-
*: سورة آل عمران 16*

*📖 سُبۡحٰنَکَ فَقِنَا عَذَابَ النَّارِ ﴿۱۹۱﴾*
Paaki Hai Tujhe Tu Hame Dozakh Ke Azaab Se Bacha Le-
*: سورة آل عمران 191*

*📖 اٰمَنُوۡا ۚ رَبَّنَا وَسِعۡتَ کُلَّ  شَیۡءٍ رَّحۡمَۃً  وَّ عِلۡمًا فَاغۡفِرۡ  لِلَّذِیۡنَ تَابُوۡا وَ اتَّبَعُوۡا سَبِیۡلَکَ وَ قِہِمۡ  عَذَابَ  الۡجَحِیۡمِ ﴿۷﴾*
Ae *Rab* Hamare, Tere Rahmat  O ilm Me Har Chiz Ki Samai Hai
Tu Unhe Baksh De Jinho Ne Tauba Ki Or Teri Raah Par Chale Or Unhe Dozakh Ke Azaab Se Bacha Le-
*: سورة مومن 7*

MAZMOON KHATAM

Jannat ka bayan

JANNAT KA BAYAN🏺*_
PART:-1_

*Bismillahirrahmanirrahim*

Jannat Ek Makan Hai Allah Tala Ne Iman Walo Ke Liye Banaya Hai Isme Wo Nemate Mohayya Ki Hain Jinko Na Aankho Ne Dekha Na Kano Ne Suna Na Kisi Aadmi Ke Dil Par Inka Khatra Guzra-

HUZOOR E AKRAM ﷺ*  Is Liye Jannat Ki Koi Misal Di Hi Nahi Or Na Di Jaa Sakti Kyu Ke KA'ABA SHAREEF Jannat Se A'ala Hai Or _*HUZOOR E ANWAR ﷺ*_  Ki TURBAT To *KA'ABA* SHAREEF Balki ARSH Se Bhi Afzal Hai Magar YE Duniya Ki Cheezein Nahi, Haan Jinhone ALLAH Ke Karam Se Apni Duniyawi Zindagi Me Jannat Ko Dekha Wo Jante Hain Ki Jannat Me Kya Kya Cheezein Hain Or Usme Kitna Aaram Hai,

Jo Koi Misal Iski Tarif me Di Jaye Samjhane Ke Liye Hai Warna Dunya Ki Aala Se Aala Shae Ko Jannat Ki Kisi Chiz Ke Saath Kuch Munasbat Nahi, Waha'n Ki Koi Aurat Agar Zameen Ki Taraf Jhanke To Zameen Se Aasman Tak Roshan Hojaye Or Khusbu Se Bhar Jaye Or Chand Suraj Ki Roshni Jati Rahe Or Oska Dupatta Dunya O Mafiha Se Behtar-

Or Ek Rawayat me Yu'n Hai Ke Agar Hoor Apni Hatheli Zameen O Aasman Ke Darmiyan Nikale To Iske Husn Ki Wajah Se Khalaiq Fitne me Pad Jaye Or Agar Apna Dupatta Zahir Kare To Iski Khubsurti Ke Aage Aaftab Aesa Hojaye Jaise Aaftab Ke Samne Chirag-

Jannat Ki Lambaai Chorhaai Ke Baare Me Kisi Ko Kuch Pata Nahi, _*ALLAHﷻ* Or _*RASOOL ﷺ*_ Behtar Jante Hain.

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-152-153)*_

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH.

JANNAT KA BAYAN🏺*_
PART:-2_

Bismillahirrahmanirrahim

Mukhtasar Ye Hai Ki Jannat Me 100 Darje Hain,
EK Darje Se Dusre Darje Me Itni doori Hai Ki Jaise Zameen Se Aasmaan Tak,

Tirmizee Shareef* Ki Ek Hadees Ka MATLAB Ye Hai Ki Jannat Ke Ek Darje Me Agar Sara Aalam Samaa Jaye To Fir Bhi Jagah Baqi Rahegi Jannat Me Ek Itna Bada Darakht Hai Ki Agar Os Ke Saaye Me Koi 100 Baras Tak Tez Ghodhe Se Chalta Rahe To Bhi Wo Sayaa Khatam Nahi Hoga,

Jannat Ke Darwazo'n Ki Chourhaai Itni Hogi Ki Oske Ek Seere Se Dusre Seere Tak Tez Ghodhe Se 70 Saal Ka Rasta Hoga, Fir Bhi Jannat Me Jane Wale Itne Zyada Honge Ki Modhe se Mondhe Chhilta Hoga Balki Bheedh Se Darwaze Charcharaane Lagega,

Isme Qism Qism Ke Jawahar ke Mahal Hain,
Aese Saaf O Safaf Ke Andar Ka Hissa Bahar Se Or Bahar Ka Andar Se Se Dekhai De-

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-153-154)*_

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH.

JANNAT KA BAYAN🏺*_
PART:-3

Bismillahirrahmanirrahim

Jannat Ki Diware Sone Chandi Ki Aento'n Or Mushk Ke Gaare Se Bani Hain Ek Aent Sone Ki Ek Chandi Ki Zameen Zaafran Ki Kankaryo'n Ki Jagah Moti Or Yaqoot Hongi-

Jannat me Ek Ek Moti Ka Khima Hoga Jiski Bulandi 60Meel Hogi Jannat Me 4 Darya Hai-
*1)PANI*
...
*2)DUDH*
...
*3)SHAHAD*
...
*4)SHARAB*

Fir inse Nahre Nikal Kar Har Ek Ke Makan Me Jarahi Hain, Waha'n Ki Nahre Zameen Khod Kar Nahi Bahti Balke Zameen Ke Upar Upar Bahti Hain-
Nahro Ka Ek Kinara Moti Ka Dusra kinara Yaqoot Ka Or Nahro'n Ki Zameen Khalis Mushk Ki Hai-

Wahan Ki Sharab Dunya Ki Sharab Jaisi Nahi Jisme Badbu Or Karwahat Or Nasha Hota Hai Or Pine Wale Be Aqal Hojate Hain-
Wo Paak Sharab In Sab Bato Se Paak Hai-

Jannatiyo Ko Jannat me Har Qism Ke Mazedar Khane Milenge Jo Chahenge Foran Unke Samne Mauzud Hoga-

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-154-155)*_

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH.

JANNAT KA BAYAN🏺*_
PART:- 4

Bismillahirrahmanirrahim

Agar Jannati Kisi Parinda Ka Gost Khana Chahenge To Osi Waqt Bhoona Hua Gosht Oske Samne Aa Jayega, Agar Koi Pani Peena Chahe To Pani Ka Kuzaa (Piyala) Oski Pyas Ke Mutabiq Oske Paas Aa Jayega, Zaroorat Se Na Ek Boond Kam Hoga Na Ek Boond Zyada, Peene Ke Baad Wo Aabkhora (Pani Peene Ka Bartan) Khud Uske Paas Se chala Jayega,

Jannat me Najaasat, Gandagi, Pakhana,Peshab, Thook,Kaan Ka Meil Or Badan Meil Wagairah Koi Gandagi Nahi Hogi, Jannati Logo'n Ko Peshab Pakhana Nahi Hoga, Sirf Ek Khusboodaar Or Farhat Bakhsh Dakaar Or Khusboodaar Paseena Nikalega, Jannatiyo'n Ka Khaya Hua Sab HazamTHE
Ho Jayega Or Nikale Hue Paseene Or Dakaar  Ki Khuhboo Mushk Ki Hogi,

Har Waqt Zuban Se Tasbeeh-O-Takbeer Wagairah Bina Iraade Ke, Bina Mehnat Ke Jaise Saans Chalti Hai Osi Tarah Aadmi Ki Zaban Se *ALLAHﷻ* Ki Tasbeeh Jaari Rahegi,
Har Jannati Ke Sahrane 10000 Khaadim Khade Honge,
in Khadimon Ke Ek Hath Me Chandi Ka Piyala Or Dusre Hath Me Sone Ka Piyala Hoga Or Har Piyale Me Nai Nai Ne'amtein Hongi,
F
(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-156-157)*_

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH.

JANNAT KA BAYAN🏺*_
PART:-5
Jannat Badhti Jayegi,
Har Luqme Or Niwaale me 70 Maze Honge,
Har Ek Maza Alag Hoga Or Jannati Sabko Ek Sath Mahsoos Karenge,
Na To Jannatiyo'n Ke Kapde Maile Honge Or Na Unki Jawaani Dhalegi,

Jannat Me Jo Pahla Giroh Jayega Unke Chehre Chand Ke Choudhwi Raat Ke Chand Ki Tarah Chamakte Honge,
Dusre Giroh Wo Jaise Koi Nehayat Roushan Sitara, Jannatiyon Ke Dil Me Koi Bhed Bhaw Na Hoga,

Aapas Me Ek Dil Honge
Jannatiyo'n Me Har Ek Ko Khaas Hooron Me Se Kam Se Kam 2 Biwiyaan Milengi
Ki 70, 70 Jode Pahne Hongi Fir Bhi Un Lebaso Jodo Or Gosht Ke Bahar Se Unki Pindaliyon Ka Magz Dikhaai Dega Jaise
Safed Glass Me Surkh (Red) Sharab Dikhaai Deti Hai,

Yeh Is Liye Ki *ALLAHﷻ* Ne Un Hooron Ko Yaqoot Ki Tarah Kaha Or  Yaqoot  Me
Agar Chhed Karke Dhaga Dala Jaye To Zaroor Bahar Se Dikhaai Dega,
Aadmi  Apne Chehre  Unke Rukhsar Me Aaine Se Bhi Zyada Saaf Dekhega,
Oske Rukshar Par Mamooli Moti Hoga Lekin Os Moti Me Itni Chamak Hogi Ki Usse Poorab Se Pashchim Tak Roushan Ho Jayega,

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-157-158)

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH..

JANNAT KA BAYAN🏺*_
PART:-6

Bismillahirrahmanirrahim

Jannat Ka Kapda Duniya Me Pahna Jaye To Ose Dekhne Wale Behosh Ho Jaye,
Mard Jab Jannat Ki Auraton Ke Paas Jayega To Unhe  Har Baar Ku'nwari Payega Magar Iski Wajah Se Mard Aurat Kisi Ko Koi Taqleef Na Hogi,
Hooron Ke Thook Me Itni Mithaas Hogi Ki Agar Koi Hoor Samundar Me Ya 7
Samundar Me Thook De To Saare Samundar Shahad Se Zyada Mithe Ho Jayenge.

Jab Koi Aadmi Jannat Me Jayega To Uske Sarhane Or Paitaane 2 Hoorein Bahut
Zyada Acchi Aawaz Se Gana Gayengi Magar Gana Dhol Baajon Ke Sath Nahi Hoga Balki Woh Apne Gaanon Me
ALLAHﷻ Ki Ta'areef Karengi

Unki Aawaz Inti Mithi Hogi Ki Kisi Ne Waisi Aawaz Na Suni Hogi Or Wo Ye Bhi Gayengi Ki Hum Hamesha
Rahne Waliyan Hain Kabhi Na Marenge,
Hum Chain Waliyan Hain Kabhi Taqleef Me Na Padenge Or Hum Raazi Hain
Naraz Na Honge Or Yeh Bhi Kahengi Ke  Uske Liye Mubarak Baad Jo Humara
Or Hum Uske Ho'n,

Jannatiyo'n Ke Sar Ke Baal Palko'n Or Bhawo Ke Alawa Kahin Baal Na Honge,
Unki Aakhein Surmangi Hongi,
30 Baras Se Zyada Koi Maloom Na Ho'nge

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-159)

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH.

JANNAT KA BAYAN
PART:-7

Bismillahirrahmanirrahim

Mamooli Jannati Ke Liye 80000 Khaadim Or 72 Biwiyan Hongi,
Or Unko Aise Taaj Diye Jayenge Ki Usme Mamooli Moti Se Bhi Poorab Se Pachchim Tak Chamak Ho
Jayegi Agar Koi Yeh Chahe Ki Uske Aulaad Ho To Aulaad Hogi Lekin Aan Ki Aan Me Baccha 30 Saal Ka Ho Jayega Jannat Me Na Nind Aayegi Na Koi Marega,

Har Jannati Jannat Me Jayega To Usko Uske Nek Kaamo Ke Mutabiq Martaba  Milega Or *ALLAHﷻ* Ke Karam Ka Koi Shumar Nhi,
Fir Jannatiyo'n Ko Ek Hafte Ke Baad ijaazat Di Jayegi Ki Wo Apne *Parwardeegar* Ki Ziyarat Karein,
Fir *ALLAHﷻ Ka ARSH* Zahir Hoga Or *ALLAH T'ALA* Jannat Ke Baagon Me
Se Ek Baag Me Tajallee Farmayega Jannatiyon Ke Liye Noor Ke Moti Ke Yaqoot Ke, Zabarjad Ke, Sone Ke, Or Chandi Ke Mimber Honge,

Or Kam Se Kam Darje Ke Jannati Mushk Or Kaafoor Ke Teele Par Baithenge
Or Unme Aapas Me Adnaa Or A'ala Koi Na Hoga
*KHUDA* Ka Deedar Aise Saaf Hoga Jaise Sooraj Or Choudhwi Ke Raat Ke Chand
Ko Har Ek Apni Jagah Se Dekhta Hai.

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-160)

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH.

JANNAT KA BAYAN🏺*_
PART:-8

Bismillahirrahmanirrahim

ALLAHﷻ* Ki Tajalli Har Jannati Par Hogi
*ALLAH T'ALA* Un Jannatiyo'n Me Se Kisi Ko Uske Gunah Yaad Dila Kar Farmayega Ki Ae Falaa'n Ke Ladke Falaa'n Tujhe Yaad Hai Jis Din Tune Aesa Aesa Kiya Tha-
Banda Jawab Dega Ki *YA ALLAHﷻ* Kya Tune Mujhe Baksh Nahi Diya Tha?
*ALLAHﷻ* Farmayega Ki Haan Meri Magfirat Ki Wus'at Ki Wajah Hi Se Tu Is
Martabe Ko Pahuncha Hai,

Wo Sab Isi Halat Me Honge Ki Badal Chayega Or Unpar Khushboo Ki Barish Hogi Ki Un Logo'n Ne Aisi
Khushboo Kabhi Na Paai Hogi,
Fir *ALLAHﷻ* Farmayega Ki Us Taraf Jaao Jo Maine Tumhare Liye Izzat Taiyyar Kar Rakhi Hai, Osse Jo Chaho Le Lo.

Log Fir Ek Aese Bazar Me Pahuchenge Jise Faristo'n Ne Gher Rakha Hoga Or
Unme Aisi Cheezein Hongi Ki Na To Aankhon Ne Dekha Hoga Na Kaanon Ne Suna Hoga Or Na Un Cheezon ka Kisi Ne Kabhi Dheyan Kiya Hoga.

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-161)

🇲AZMOON JARI HAI INSHAA'ALLAH.

JANNAT KA BAYAN
LAST PART:-09

Bismillahirrahmanirrahim

Jannati Osme Se Jo Cheez Pasand Karenge Unke Sath Kar Di Jayegi Jannati Jab Aapas Me Ek Dusre Se
Milenge Or Chote Ruttbe Wala, Bade Rutbe Wale Ke Libaas Ko Dekh Kar Pasand Karega To Abhi Baatein Khatam Bhi Na Hongi Ki Chote Martabe Wala Apne Kapde Ko Bade Martabe Wale Se Accha Samajhne Lagega Ye Is Liye Ki Jannat Me Kisi Ke Liye Gum Nahi,
Fir Waha'n Se Apne Makaano'n Ko Wapas Ayenge,

Unki Biwiyaan Unka Isteqbaal Karengi Or Mubarak Baad De Kar Kahengi Ki AapKa Jamaal Yani Khubsurti Pahle Se
Bhi Kahin Zyada Badh Gai Hai,
Woh Jawab Dega Kyu'nki Hame *ALLAHﷻ* Ke
Darbaar Me Haziri Naseeb Hui Is Liye Hame Aesa Hi Hona Chahiye.

Jannati Jab Aapas Me Ek Dusre Se Milna Chahenge To Iske 2 Tareeqe Honge,
Ek Ye Ki Ek Ka Takht Dusre Ke Paas Chala Jayega,

Or Ek Rawayat Me Hai Ke Jannatiyo'n Ke Paas Aala Darje Ki Sawaariya'n Or Ghode Laye Jayenge Un Par Sawaar Hokar Jab Chahe Or Jaha'n Chahe Chale Jayenge,
Sabse Kam Darje Ka Wo Jannati Hai Ki Uske Bagaat(Garden). Biwiya'n, Khadim Or Takht Itne Zyada Honge Ki Hazaar Baras Ke Safar Tak Ki Ye Tamam Cheezein Faili Hui Hongi,

Un Jannatiyo'n Me *ALLAHﷻ* Ke Nazdik Sabse izzat Wala Wo Hai Jo Oska Deedar Subah Shaam Karega, Jannati Jab Jannat Me Pahunch Jayenge Or Jannat Ki Ne'amate Unke Samne Hongi Or Jannat Ke Chain Wa Aaram Ko Jaan Jayenge To *ALLAH TABARAK WA T'ALA* Unse Puchhega Ki Kya Kuch Or Chahte Ho?
To Wo Kahenge Ki  *YA ALLAHﷻ* Tune Hamare Chehre Roushan Kiye Jannat Me Dakhil Kiya Or Jahannam Se Najaat Di,
Os Waqt Parda Ke Makhloq Par Tha Uth Jayega To *Deedar-E-Elahi* Se Badh Kar Unhe Koi Chiz Na Mili Hogi.

(BAHAR-E-SHARIAT, JANNAT KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-161-162)*_

*🕋YA ALLAHﷻ HAMKO APNE PYARE NABI PAAK HUZUR TAJDAR-E-MADINAصلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم JO RA,OOF O RAHEEM HAIN UNKE WASEELE SE APNA DEEDAR NASEEB FARMA*
*💫آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ💫*

PART END...⤴*

Allah kaha hai

ALLAH KAHA HAI ???
Part 1

💢PESH-E-LAFZ :-

🔴Tamam Taareef ALLAH Taala K Liye Jisne Hum Sabko Paida Farmaya, Jo Hamesha Se Hai Aur Hamesha Rahega ,Usey Na Neend Aaye Na Aung , Wah Apni Qudrat Se Har Chiz Karta Hai Aur Jab Wah Koi Chiz Karne Ka Iraada Karta Hai Toh Kehta Hai “Hojaa” Aur Wah Jaati Hai , Wahi Hai Ibadat K Layak , Wahi Hai Maabud Wahi Rehman Wahi Rahim Wahi Gafur,Tamam Qaynat Ko Chalane Wala....

💢TAMHEED:-

⚫Hyderabad Ek Qutub Khana Per EK QITAB MILI JISKA NAAM THA“ALLAH Kaha Hai” Likhne Wala Wahbi Salafi Hai Aur Chaapi B Hyderabad Se,

🔴Is Kitab Me Inhone Badchadkar Kufr Likha Hai,ALLAH Taala Ki Shaan O Azmat Ko Inhone Insaano Se Mushabihat B Ki Hai Jaise Qayam Hona,

Haath,Pair,Chehra,Pindli,Muh,Uthna,Baithna Wagaira Yeh Sab ALLAH Taala K Liye Maana Hai Jabki Yeh Sab ALLAH Taala Ki Shaan E Azmat K Layak Nahi Aur ALLAH Taala Tamam Jism O Jismaniyat Se Paak Hai ,

⚫Jagah Se Paak ,Insaan Ki Mushabihat Se Paak Hai Hatta K Hum Soch B Nahi Sakte Aur Naahi Humari Aqal Me Aaye K ALLAH Taala Kaisa Hai ,Humare Rabbul Aalameen Ki Shaan O Azmat Itni Buland O Baala Hai Ki Aqal Me Hi Na Aasake.

🔴Is Risale Hum Yeh Saabit Karege Ki Wahbi Aur Deobandi Ka Jo Aqeeda Hai Wah Sarasar Galat Hai Aur Mahez Muttushabihat Ayat Ki Buniyad Per Hai Jisse Daleel Lene K Liye Mana Kardiya Gaya Hai.

ALLAH Taala Quran Shareef Me Fermata Hai...

📖Tarjuma Kanzul Imaan⤵

🔲“Wahi Hai Jisne Tumper Kitab Utaari Uski Kuch Aaaytein Saaf Maani Rakhte Hai Wah Kitab Ki Asal Hai Aur Dusri Wah Hai Jinke Maani Me Ishtabah Hai Wah Jin K Dilo’n Me Kaji Hai Wah Ishtabah Wali K Piche Padhte Hai Gumrahi Chahne Aur Is Ka Pehlu Dhundne Ko Aur Is Ka Thik Pehlu ALLAH Hi Ko Maalum Hai Aur Pukhta Ilm Wale Kehte Hai Hum Is Per Imaan Laaye Sab Humare Rab K Paas Se Hai Aur Nasihat Nahi Maante Magar Aqal Wale”
📖(Surah Al Imran Aayat No. 07)

⚫Is Aayat Se Malum Hua Ki Quran Shareef Me 2 Tarah Ki Aayat Hai, Ek Wah Jo Saaf Maani Rakhte Hai Jise Muhkamat Wali Aayatein Kehte Hai Aur Dusri Wah Jinke Maani Me Ishtabah Hai Aur Usey Aayat E Muttushabihat Kehte Hai Aur Is Aayat Se Saaf Yeh B Pata Chalta Hai Ki Muttushabihat Wali Aayat K Piche Padhne Wala Gumrah Hai Aur Iske Mane Nikalne Wala B Gumrah Hai Aur Jo Pukhta Ilm Wala Hai Wah Un Aayaton Per Iman Rakhte Hai Lekin Uske Piche Nahi Padhte Aur Naahi Isme Pehlu Dhundte Hai....

To be Continued...

ALLAH KAHA HAI ???
Part 2

💢Tafseer Khaizan Ul Irfan Me Tafseer Jamal Aur Khazin K Hawale Se Likha Hai:

⚫Jisme Koi Ehtamal Wa Ishtabah Nahi K Ehkam Me Inki Taraf Ruju Kiya Jaata Hai Aur Halal Wa Haram Me Inhi Per Amal Wah Chand Wujuh Ka Ehtamal Rakhte Hai Inme Se Kaunsi Wujuh Murad Hai Yeh ALLAH Hi Janta Hai Ya Jisko ALLAH Taala Iska Ilm De Yaani Gumrah Aur Badmazhab Log Jo Hawai Nafsani K Paband Hai Aur Iske Zahir Per Hokum Karte Hai Ya Taaweel Batil Karte Hai Aur Yeh Nek Niyat Se Nahi Balke,Aur Shak Wa Shuba Me Daalne,Apne Khwaish K Mutabik Bawajud Yeh K Wah Taaweel K Ahl Nahi Haqeeqat Me Aur Apne Karam Wa Ataa Se Jisko Wah Nawaze Hazrat Ibn Abbas Radialla Taala Anhu Se Marwi Hai Aap Farmate The..

🔴Me “Rasikhin Fi Ilmi” Se Hua Aur Mujahid Se Marwi Hai K Me Inme Se Hu Jo Muttushabihat Ki Taaweel Jante Hai Hazrat Anas Bin Maalik Radialla Taala Anhu Se Marwi Hai K “Rasikhun Fi Ilmi” Wah Alim Hai Ba Amal Hai Jo Apne Ilm Ka Matbua Ho..

⚫Ek Qaul Mufassireen Ka Yeh Hai K “Rasikhun Fi Ilmi” Wah Hai Jinme Char Sifaten Ho Taqwa ALLAH Tawaze Logo Se Zabd Duniya Se Mujahid Nafs K Saath K Wah ALLAH Ki Taraf Se Aur Jo Maani Uski Muraad Ho Haq Hai Aur Uska Naazil Farmaana Hikmat Hai Muhkam Ho Ya Muttushabihat Aur Rasikh Ilm Wale Kehte Hai....

🔴Is Ayat Aur Tafseero Se Saaf Pata Chal Gaya K Hume Un Aayato K Piche Nahi Padhna Chahiye Jo Muttushabihat Ho....

To Be Continued...

ALLAH KAHA HAI ???
Part 3

🔴Ahle Sunnat Wa Jamat Ka Aqeeda

ALLAH Taala Arsh Per Istawa Hua Jaisa Uski Shaan K Layak Hai ,ALLAH Taala Tamam Jagah Se Paak Hai , Jism O Jismaniyat Se Paak Hai,Wah Ab Bhi Waisa Hai Jaisa K Arsh O Farsh Waqt Space Banne Se Qabl Tha.

⚫Hazrat Ali Radialla Taala Anhu Ka Qaul Hai...

كان- الله- ولا مكان، وهو الان على ما- عليه- كان

🔴“ALLAH Taala Bina Jagah K Hai Aur Wah Waisa Hi Hai Jaise Pehle Tha”.

الفرق بين الفرق لأبي منصور البغدادي

📝Safa 11

⚫Abi Mansur Al-Baghdadi Hazrat Ali K Hawale Se Likhte Hai..

إن الله تعالى خلق العرش إظهارًا لقدرته لا مكانا لذاته 

🔴Beshak ALLAH Ne Arsh Paida Kiya Apni Qudrat Zahir Karne K Liye Naaki Apne Liye Jagah K Taur Per.

⚫Imam Zaynul-’Aabidin ’Ali Ibn Al-Husayn Ibn ‘Ali Ibn Abi Taalib Radialla Taala Anhu Likhte Hai”

أنت الله الذي لا يحويك مكان

🔴Wah Khuda Hai Jise Jagah Ki Zarurat Nahi”

📝It-Haaf As-Saadat Al-Muttaqin Jild 2 Safa 24

Imam Nasafi Apni Tafseer An Nisfi Surah Taha Jild 2 Me Likhte Hai..

إنه تعالى كان ولا مكان فهو على ما كان قبل خلق المكان، لم يتغير عما كان.

⚫Beshak ALLAH Taala Bina Makan K Hai Aur Wah Aisa Hai Jaisa K Jagah Banne Se Qabl Tha Wah Jagah Badalta Nahi Jaisa Pehle Tha Ab B Waisa Hai.”

🔴Shaykh Abul Abbas Shihad Ud Din Ahmad Ibn Muhammad Al-Qastalānī Al-Masrī Apni Sharah Irshad Us Saari Me Likhte Hai.

ذات الله منزه عن المكان والجهة

To Be Continued...

ALLAH KAHA HAI ???
Part 4

⚫“ALLAH Taala Jagah Aur Simt(Direction) Se Paak Hai.”

📖(Irshad As Saari Jild 15 Safa 451)

🔴Imam Ibn Hajar Asqalani Rehmatullah Alaih Apni Kitab “Al Madhkal Jild 2 Safa 149 Per Aur Fath U Bari Me Likhte Hai.

وإضافته- أي العرش- إلى الله تعالى إنما هو بمعنى التشريف له كما يقال: بيت الله وحرمه، لا أنه محل له وموضع لاستقراره

⚫Mukhtasar Tarjuma: ALLAH Taala Ka Arsh Matlab Uski Uluhiyat Hai Ussey Murad Uski Jagah Nahi Ya Baithne Ki Jagah Nahi.

Imam Suyuti Ne Imam Shafai Se Naqal Kiya Al-Ashbah Wa An-Nadha'ir Me,Likhte Hai

“Al Mujassimah (Yaani Khuda K Liye Jism Manna ) Kufr Hai.”

🔴Imam Abu Muain Apni Kitab Tabsirah Al-Adillah Me Likhte Hai:

⚫“Jo Khud E Taala K Liye Jagah Bataye Wah Kafir Hai”

🔲Imam Bayhaqi Apni Kitab Al Asma Wa As Sifat Me Likhte Hai:*

🔴“Kuch Ashab Ne Gawahi Pesh Ki K Wah ALLAH Taala K Jagah K Hone Qail Nahi Aur “NABI ﷺ Ne Farmaya Ya ALLAH Tu Zahir Hai Toh Tere Upar Koi Nahi Aur Tu Batin Hai Toh Tere Niche Koi Nahi” Toh Pata Chala K Upar Aur Niche Koi Nahi Iska Matlab Yeh K ALLAH Taala Jagah Se Paak Hai.”

*🔲Imam Ibn Hajar Haytami Apni Kitab Al Minhaj Ul Qawim Me Likhte Hai:*

⚫“Jaanlo K Al-Qarafi Wa Wagaira Jinhone Riwayat Li Al-Shafai, Malik, Ahmad,Abu Hanifah Rizwanullahi Ajmain Se K Jo ALLAH Taala Simt, Jism Mane Wah Kafir Hai.

🔴Alhamdulillah Humne Ab Tak Jo B Dalail Pesh Kiye Salaf Se Issey Saaf Zahir Hogaya Ki Ahle Sunnat Wa Jamat Ka Aqeeda Hai K ALLAH Taala Tamam Jagah Se Paak Hai , Jism O Jismaniyat Se Paak Hai , Wah Simt Se Paak Hai.

To Be Continued...

*ALLAH KAHA HAI ??? Part 6*

🔲DEV'BANDIYO KA AQEEDA...*

🔴Deobandiyo Ka Aqeeda Hai K ALLAH Taala Har Jagah Maujud Hai, Aap Jis Taraf Rukh Karo Waha ALLAH Taala Hai...

*Maz'ALLAH.*

*▪Darul Uloom Deoband Me Kisi Ne Fatwa Manga...*

*⤵Sawal:-*

⚫Kya ALLAH Paak Har Jagah Hai? Kya ALLAH Paak Ek Hi Waqt Me Har Jagah Hai? Kya ALLAH Paak Har Chiz Me Maujud Hai?

*⤵Jawab Darul Uloom Deoband:-*

 

1⃣Ji Haa ALLAH Taala Har Jagah Hai...

2⃣Ji Haa Ek Hi Waqt Me Har Jagah Maujud HaI...

3⃣ALLAH Taala Har Chiz Me Maujud Hai, 

Yeh Tamam Umoor Qurani Aayat Se Saabit Hai...

📜(Fatwa: 1023/860-432/7)

🔴Khud Deoband Ka Fatwa K Har Jagah Maujud Hai Aur Har Chiz Me B Hai , Ab Me Sawal Karta Hu K Har Chiz Me Maujud Hai Toh *Kya Khuda E Taala Mandir K Us Butt Me B Maujud Hai Jiski Kafir Puja Karte Hai ????*

⚫Aur Kis Tarah Jhut Kaha Hai Ki Yeh Tamam Chizen Yaani Inka Yeh Aqeeda Quran Shareef Se Saabit Hai Jab Quran Shareef Me Khud ALLAH Fermata Hai *Muttushabihat* Wali Aayat Ki Taaweel Na Karo Jaisa K Humne Pehle Pesh Kiya Hai.

Isi Tarah Aur B Firko K Yeh Aqeede Hai Ki ALLAH Aasmano Per Hai Jo K Kufriya Aqeeda Hai.....

🔴Wahabi Aur Deobandi Ka Aqeeda Humne Thodi Wazahat Me Isliye Pesh Kiya Ki In Walwala Zyada Hai Aaj K Maujuda Waqt Me.

⚫Humne Ahle Sunnat-Wa-Jamat , Wahabi Urf Salafi Urf Ahle Hadees , Deobandi Ka Aqeeda Pesh Kiya Jisse Saaf Wazeh Taur Per Maalum Ho gaya K Wahabi Aur Deobandi Ka Aqeeda Ahle Sunnat-Wa-Jamat K Aqeede K Khilaf Hai ,Un Aimma K Khilaf Hai Jinhe Duniya Apna Mufassir Muhaddis Tasleem Karti Hai Yaani Har Jamat Manti Hai K Woh Haq Par Hai Lekin Khud Wahabi Deobandi Ne Muttushabihat Wali Aayato Ki Taaweel Karke Apna Ek Alag Aqeeda Gadd Liya Aur Yaad Rahe K Muttushabihat Wali Aayato Ki Taaweel Karne Se Khud Quran Mana Farma Raha Hai Lekin Wahabi Deoband Is Farmaan K B Khilaf Jakar Apna Kufriya Aqeeda Gadhliya....

To Be Continued....

*ALLAH KAHA HAI ??? Part 7*

🔲AHADEES AUR UNKE JAWABAT...*

🔴Ahadees E Mubaraka Ka Zikr Karte Hue Wahbi Deobandi Yeh Zahen Dene Ki Koshish Karte Hai Ki ALLAH Taala Arsh Per Hai Maz ALLAH.

In Sha ALLAH Taala Hum Usi Mutaliq Apni Daleelein Yaha Pesh Karege....

*⤵Hadees:- 01.*

⚫Wahabi Ek Hadees Pesh Karte Hai Ki NABI ﷺ Ne Baandi Se Pucha ALLAH Kaha Hai ,Usne Jawab Diya Wah Aasman Me Hai ,Fir NABI ﷺ Ne Pucha *“Me Kaun Hu”* Baandi Ne Jawab Diya “Aap ALLAH K Rasool Hai” Tab NABI ﷺ Ne Us Baandi Ko Aazad Kardiya Aur Imaan Wali Kaha.

*📙(Sahih Muslim Jild 4 Hadees No. 1094)*

🔴Is Hadees Yeh Istedlal Lete Hai Ki Dekho Us Baandi Ka Aqeeda Durust Tha Ke Usne ALLAH Ko Aasmano Per Bataya Aur Rasool ALLAH ﷺ Ne Usey Imaan Wali Batakar Aazad Kardiya,

Agar ALLAH Upar Nahi Toh Emaan Wali Kaise?

*⤵Humara Jawab:-*

⚫Yeh Hadees Khabar E Wahid Hai Yaani Single Hadees Hai Jisse Aqeeda Qayamm Nahi Kiya Jaa Sakta.

🔴Yeh Hadees Muwaiya Ibn Al Hakam Radialla Taala Anhu Se At'a Bin Yassar Se Hote Hue Mili Hai Jo Ki Ahad Hai Aur Usool Hi Yeh Hai Khabar Ul Ahad Wali Hadees Se Aqeeda Qayam Nahi Kiya Jaa Sakta.

🔳Imam Abu Hanifa رضی الله عنہ  Aur Wahbiyat...*

🔴Wahbi Imam E Aazam Abu Hanifa رضی الله عنہ  Per Bohtan Bandhte Hai Ki Imam E Aazam K Paas Ek Shaks Aaya Aur Usne Sawal Kiya Hai *“Joy Eh Kahe K Me Nahi Jaanta K Mera Rab Zameen Per Hai Ya Aasman Per Toh Aisa Kehne Wale K Bare Me Kiya Hokum Hai?*

⚫Toh Imam Abu Hanifa رضی الله عنہ  Ne Jawab Diya *“Toh Usne Kufr Kiya”* Q K ALLAH Fermata Hai Wah Arsh Per Qayam Hua Aur Uska Arsh Saaton Aasmano K Upar Hai.

*🔴Hawala Dete Hai :* Abu Ismail Al Ansaari Ki Kitab Al Farooque Jisme Abi Muti Al Hakam Bin Abdullah Al Balkhi Al Hanfi Ki Taraf Mansoob Karke.

Aur Hazrat Abi Muti Al Hakam Imam Abu Hanifa K Shagird Rahe Hai.

Ab Aaye Sabse Pehle *“Al Farooque”* Kitaab Ka Jayza Le..

⚫Imam Abu Hanifa رضی الله عنہ  Ki Taraf Mansoob Yeh Qaul Ka, Sabse Pehle Jawaab Yeh Hai Ke Yeh Riwayat Be-Sanad Hai, Hamaari Tehqeeq Ke Mutaabiq Dunya Ki Kisi Kitaab Me Is Riwayat Ki Sanad Maujood Nahi Hai Aur Ibn Abil Izz Rahimah Ullah Ne Bhi Beghair Sanad Se Yeh Riwayat Naql Ki Hai....

*📚(Sharah Aqeedatut Tahawiya Li Ibn Abi Izz : Safa 386-387)*

🔴Magar Afsoos Jo Qaum Quraan Wa SAHEEH Hadees Par Amal Karne Ka Dawa Karti Hai, Dekhiye Wo Kaise Kaise Riwayaat Se Istedlaal Aur Daleel Pakardti Hai.

⚫Aur Inke Hafiz Zubair Ali Zai Aur Irshaad Ul Haq Asri Ke Usool Ke Mutaabiq Be-Sanad Riwayat Mauzu Yaani [Manghadak Hoti Hai]..

*📔(Nurul Aainain : Safa 304)*

*📗(Maqaalaat E Irshad Ul Haq Asri : Jild 2 : Safa 48-50)*

*Part End....*