DOZAKH KA BAYAN Part;-01
ALLAHU AKBAR
Ye Ek Makaan Hai Ke Os Qahaar O Jabbar Ke Jalal O Qahar Ka Mazhar Hai.
Jis Tarah Oski Rahmat O Nemat Ki Inteha Nahi.
Isi Tarah Iske Ghajab O Qahar Ki Koi Had Nahi Ke Har Wo Taklif Tabahi Barbadi Ko Sochi Samjhi Jaye-
Ek Adna Hissa Hai Oske Be Inteha Azaab Ka Qur'an Majeed O Ahadees Me Jo Iski Sakhtiya'n Darz Hain Unme Se Kuch Bayan Karta Hun.
Ke Musalman Dekhe Or Isse Panah Mange Or Un Aamaal Se Bache Jinki Jaza Jahannam Hai-
Hadees Me Hai Ke Jo Banda Jahannam Se Panah Mangta Hai.
Jahannam Kahta Hai Ae Mere *RAB*! Ye Mujhse Panah Mangta Hai Tu Isko Panah De.
Qur'an Majeed Me Kasrat Se Irshad Hua Ke Jahannam Se Bacho! Dozakh Se Daro! Hamare *AAQA-O-MAULA صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم* Humko Sikhane Ke Liye Kasrat Ke Saath Osse Panah Mangte-
Jahannam Ke Sharare(Jingaarya'n Shole) Unche Unche Mahlo Ke Barabar Udenge Goya Zard Rang Ki Ont(Camel) Ki Qataar Ke Peham Ate Rahenge-
Qur'an Majeed Me Iska Tazkira Surat-Tul-Murshilaat Ayat 32-33 Me Mouzud Hai-
[BAHAR-E-SHARIAT, DOZAKH KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-163-]
MAZMOON JARI HAI
DOZAKH KA BAYAN Part;-02
Suratul-Ul-Baqara Ayat 24 Me Jahannam Ka Aedhan Ka Zikr Is Tarah Mauzood Hai
*📖فَاتَّقُوا النَّارَ الَّتِیۡ وَقُوۡدُہَا النَّاسُ وَ الۡحِجَارَۃُ﴿۲۴﴾*
Jahannam Ka Aedhan Aadmi Or Patthar Hai-
Dunya Ki Aag Se Jahnnam Ki Aag 70 Guna Zyada Garam Hai Jisko Kamm Darja Ka Azaab Hoga Ose Aag Ki Jootiya'n Pahna Di Jayegi Jisse Oska Dimag Aesa Kholega Jaise Taambe Ka Bartan Kholta Hai.
Wo Samjhega Ke Sabse Zyada Azaab Ospar Hi Horaha Hai Lekin Ospe Sabse Halka Azaab Horaha Hai-
Jispar Sabse Halka Azaab Hoga Osse *ALLAHﷻ* Puchega: Ke Agar Saari Zameen Teri Hojaye To Kya Is Azaab Se Bachne Ke Liye Tu Sab Fadya Me Dedega(Wo Maal Rupya Jise Dekar Qaidi Reha Ho)?
Arz Karega: Haan!
Farmayega: Ke Jab Tu Pust Aadam Me Tha To Humne Isse Bahaut Asaan Chiz ka Hukm Diya Tha Ke Kufr Na Karna Magar Tune Na Mana-
Jahannam Ki Aag Hazaar Saal Tak Sulgai Gai To Ye Surkh Hogai.
Fir Hazaar Saal Sulgai Gai To Safed Hogai.
Fir Hazaar Saal Sulgai Gai To Siyah Hogai.
To Ab Nari Siyah Hai Jisme Roshni Ka Naam Nahi-
[BAHAR-E-SHARIAT, DOZAKH KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-164-]
MAZMOON JARI HAI*
DOZAKH KA BAYAN Part;-03
Jibrail عليه السلام Ne Nabi صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم Se Qasam Kha Kar Arz Ki Ke Agar Jahannam Se Soi(Needle) Ke Naake Ki Barabar Khol Diya Jaye To Tamam Zameen Wale Sab Iski Garmi Se Mar Jaye
Or Qasam Kha Kar Kaha : Ke Agar Jahannam Ka Koi Daroga(Custodian) Ahle Dunya Par Zahir Ho To Zameen Ke Rahne Wale Tamam Ke Tamam Oski Haebat Dar Se Mar Jaye.
Or Ba Qasam Bayan Kiya: Ke Agar Jahannamiyo'n Ke Zanjeer(Fetter) Ki Ek Kadi Dunya Ke Pahado Par Rakh Di Jaye To Pahaad(Mountain) Kaanpne Lage Or Unhe Qaraar Na Ho Yaha'n Tak Ke Niche Ki Zameen Dhans Jaye-
Ye Dunya Ki Aag(Jiski Garmi Or Tezi Se Koun Waqif Nahi Hai Ba'z Mausam Me To Iske Qareeb Jana Duswaar Hota Hai, Fir Bhi Ye Aag) Khuda Se Dua karti Hai Ke Ise Jahannam Me Fir Na Le Jaye.
Magar Taj'jub Hai Insaan Se Ke Jahannam Me Jane Ka Kaam Karta Hai Or Os Aag Se Nahi Darta Jisse Aag Bhi Darti Or Panah Mangti Hai-
[BAHAR-E-SHARIAT, DOZAKH KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-165-]
MAZMOON JARI HAI*
DOZAKH KA BAYAN Part;-04
Dozakh Ki Gahrai Ko Khuda Hi Jane Ke Kitni Gahri Hai.
Hadees Me Hai Ke Agar Patthar Ki Chattaan Jahannam Ke Kinare Se Osme Phenki Jaye To 70 Saal Me Bhi Niche Tak Na Poh'chegi-
Or Agar Insaan Ke Sir Barabar Sisa Ka Gola Aasman Se Zameen Ko Phenka Jaye To Raat Aane Se Pahle Zameen Tak Pahunch Jayega Hala'nke Ye 500 Saal Ki Raah Hai.
Fir Osme Tarah Tarah Ke Tabqaat O Wadi Or Kuwe(Well), Hain
Ba'az Wadi Aesi Hain Ke Jahannam Bhi Har Roz 70 Marataba Ya Osse Zyada Baar Panah Mangta Hai-
Ye Khud Os Makaan Ki Halat Hai, Agar Isme Or Kuch Azaab Na Hota To Yahi Kiya Kamm Tha! Magar Kuffar Ki Sarjanis Ke Liye Or Tarah Tarah Ke Azaab Isme Hai.
Lohe Ke Aese Bhari Gurzu Hatyar Saman Se Farishte Marenge Ke Agar Koi Hatyar Zameen Par Rakh Diya Jaye To Tamam Jin Or Insaan Jama Hokar Osko Utha Nahi Sakte -
[BAHAR-E-SHARIAT, DOZAKH KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-166-]
MAZMOON JARI HAI*
DOZAKH KA BAYAN*
Part;-05
Ont(Camel) Ki Gardan Ke Barabar Bichchu(Scorpion) Or ALLAHﷻ Jane Kis
Qadar Bade Saanp(Snake) Ke Agar Ek Martaba Kaat Le To Iski Sojish(Swelling,inflammation)
Dard Be Chaini 1000 Saal Tak Rahe-
Tel Ki Jali Hui Tah Ki Misl Sakht Kholta Pani Pine Ko Diya Jayega Ke Muh Ke Qareeb Hote Hi Iski Tezi Se Chehre Ki Khaal Gir Jayegi-
Quran Me Iska Tazkira Is Surah Me Aya Hai.
*🎴وَ اِنۡ یَّسۡتَغِیۡثُوۡا یُغَاثُوۡا بِمَآءٍ کَالۡمُہۡلِ یَشۡوِی الۡوُجُوۡہَ*
*: سورة الكهف 29*
Sir Par Garam Pani Bahaya Jayega.
Jahannamiyo'n Ke Badan Se Jo Peep(Pus) Bahegi Wo Pilai Jayegi-
📖Iska Bhi Zikr Quran Majeed Ke Is Surah Me Mouzud Hai
*🎴یُصَبُّ مِنۡ فَوۡقِ رُءُوۡسِہِمُ الۡحَمِیۡمُ ﴿ۚ۱۹﴾*
*: سورة الحج 19*
*🎴مِّنۡ وَّرَآئِہٖ جَہَنَّمُ وَ یُسۡقٰی مِنۡ مَّآءٍ صَدِیۡدٍ ﴿ۙ۱۶﴾*
*: سورة إبراهيم 16*
Khaar Daar Thuhad(Zahrila Darakht Jisme Se Doodh Nikalta Hai) Wo Khane Ko Diya Jayega Wo Aesa Hoga Ke Agar Iska Ek Qatra Dunya Me Aye To Iski Sojish O Badbu Se Tamam Ahle Dunya Ki Ma'esat(Economy) Barbad Karde-
_[BAHAR-E-SHARIAT, DOZAKH KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-167-]
MAZMOON JARI HAI*
DOZAKH KA BAYAN Part;-06
Khaar Daar Zahrila Darakht Khayega To Wo Gale Me Jakar Phanda Dalega.
Iske Utarne Ke Liye Paani Mangege To Unko Wo Kholta Hua Pani Diya Jayega Ke Mu'h Ke Qareeb Aate Hi Mu'h Ki Saari Khaal Gall Kar Osme Gir Padegi Or Pet Me Jate Hi Aanto(Intestinal) Ko Tukde Tukde Kar Dega-
Or Wo Shorbe Ki Tarah Bah Kar Qadmo'n Ki Taraf Niklegi.
Piyaas Is Bala Ki Hogi Ke Is Pani Par Aese Girenge Jaise To'Nas(Yaani Intehai Shadid Piyas) Ke Mare Hue Ont(Camel).
Phir Kuffar Jaan Se Aaziz Aakar Ba'Ham Mashwara Karke Malik عليه الصلوٰة و السلام Daroga-E-Jahannam(Jahannam Ke Mohafiz) Ko Pukarenge Ke Ae Malik(عليه الصلوٰة و السلام)! Tera Rab Hamara Qissa Tamam Karde.
Malik عليه الصلوٰة والسلام Hazaar Saal Tak Jawab Na Denge.
Hazar Saal Ke Baad Farmayenge Mujhse Kya Kahte Ho.
Osse Kaho Jiski Na"Farmani Ki Hai!
100 Saal Taak Rab-Ul-Izzat Ko Oski Rahmat Ke Naamo'n Se Pukarenge.
Wo 100 Saal Tak Jawab Na Dega.
Iske Baad Farmayega To Ye Farmayega" Door Hojao! Jahannam Me Pade Raho! Mujhse Baat Na Karo! Os Waqt Kuffar Har Qism Ki Khair Se Na Umeed Ho Jayenge-
Or Gadhe Ki Awaz Ki Tarah Chilla Kar Royenge Ibteda"an Aanso Niklega Jab Aanso Khatam Ho Jayenge To Khoon Ki Aanso Royenge.
Rote Rote Gaalo Me Khandaqo'n(Trenches) Ki Misl Gad'he(Pit-گڑھے)Pad Jayenge.
Rone Ka Khoon Or Peep(Pus) Is Qadar Hoga Ke Agar Osme Kashtiya(Boat)Dali Jaye To Chalne Lage-
[BAHAR-E-SHARIAT, DOZAKH KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-168-169-]*_
MAZMOON JARI HAI
DOZAKH KA BAYAN*
Part;-08
Phir Aakhir Me Kuffar Ke Liye Ye Hoga Ke Oske Qad Ke Barabar Aag Ke Sandoq(Box) Me Ose Band Karenge.
Fir Osme Aag Bhadkayege Or Aag Ka Qufal(Ek Qism Ka Tala)Lagaya Jayega.
Phir Ye Sandoq Aag Ke Dusre Sandoq Me Rakha Jayega Or In Dono Ke Darmiyan Aag Jalai Jayegi Or Isme Bhi Aag Ka Tala Lagaya Jayega.
Phir Isi Tarah Osko Ek or Sandoq Me Rakh Kar Or Aag Ka Tala Laga Kar Aag Me Daal Diya Jayega To Ab Har Kafir Ye Samjhega Ke Iske Siwa Ab Koi Aag Me Na Raha-
Or Ab Hamesha Iske Liye Azaab Hai.
Jab Sab Jannati Jannat Me Dakhil Ho Jayenge Or Jahannam Me Sirf Wahi Rah Jayenge Jinko Hamesha Ke Liye Isme Rahna Hai.
Is Waqt Jannat O Dozakh Ke Darmiyan Mout Ko Mendhe Ki Tarah La Kar Khada Karenge Phir Munadi(Pukarne Wala) Jannat Walo Ko Pukarega.
Jannati Darte Hue Jhankenge Ke Kahi Aesa Na Ho Ke Yaha'n Se Nikalne Ka Hukm Ho.
Phir Jahannamiyo'n Ko Pukarega Wo Khus Hote Hue Jhankenge Ke Sayad Is Musibat Se Rehai Hojaye.
Phir In Sab Se Puchega Ke Ise Pahchante Ho?
Sab Kahenge Haa'n! Ye Mout Hai.
Mout Ko Zibah Kar Di Jayegi Or Kahega: Ae Ahle Jannat ! Hameshgi Hai Ab Marna Nahi.
Or Ae Ahle Naar! Hameshgi Hai Ab Mout Nahi.
Os Waqt Jannati Ke Liye Khusi Par Khusi Hai.
Or Jahannami Ke Liye Gham Balaye Gham-
[BAHAR-E-SHARIAT, DOZAKH KA BAYAN, HISSA:-01,PAGE:-170-171]
*📖رَبَّنَاۤ اٰتِنَا فِی الدُّنۡیَا حَسَنَۃً وَّ فِی الۡاٰخِرَۃِ حَسَنَۃً وَّ قِنَا عَذَابَ النَّارِ ﴿۲۰۱﴾*
Hame Dunya Me Bhalai De Aur Akhirat Me Bhalai De Aur Hame Azaab-E-Dozakh Se Bacha-
*: سورة البقرة 201*
*📖رَبَّنَاۤ اِنَّنَاۤ اٰمَنَّا فَاغۡفِرۡ لَنَا ذُنُوۡبَنَا وَ قِنَا عَذَابَ النَّارِ ﴿ۚ۱۶﴾*
Hum Iman Laye Tu Hamare Gunah Muaf Kar Or Hame Dozakh Ke Azaab Se Bacha Le-
*: سورة آل عمران 16*
*📖 سُبۡحٰنَکَ فَقِنَا عَذَابَ النَّارِ ﴿۱۹۱﴾*
Paaki Hai Tujhe Tu Hame Dozakh Ke Azaab Se Bacha Le-
*: سورة آل عمران 191*
*📖 اٰمَنُوۡا ۚ رَبَّنَا وَسِعۡتَ کُلَّ شَیۡءٍ رَّحۡمَۃً وَّ عِلۡمًا فَاغۡفِرۡ لِلَّذِیۡنَ تَابُوۡا وَ اتَّبَعُوۡا سَبِیۡلَکَ وَ قِہِمۡ عَذَابَ الۡجَحِیۡمِ ﴿۷﴾*
Ae *Rab* Hamare, Tere Rahmat O ilm Me Har Chiz Ki Samai Hai
Tu Unhe Baksh De Jinho Ne Tauba Ki Or Teri Raah Par Chale Or Unhe Dozakh Ke Azaab Se Bacha Le-
*: سورة مومن 7*
MAZMOON KHATAM
No comments:
Post a Comment