Tuesday, March 21, 2017

MOHARRAM AUR YAUM E AASHOORA

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

           *MOHARRAM AUR*
          *YAOM-E-ASHOORA*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

             *🅿ART➖0⃣1⃣*

*YAUM-E-ASHOORA KA TAYEEN*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

💖SHARAH BUKHARI IMAM AHMED BIN MUHAMMED QASTALANI رحمة الله عليه farmate hain k, lafz ashoora alif madda k sath hai aur iski tayeen me ikhtelaaf hai.💐

🌹 Hazrat Hukm bin Aeraj se marwi hai, farmate hain k main Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما k paas pahoncha to unhone zam zam k paas apni chadar ka takiya laga rakha tha maine arz kiya mujhe ASHOORA k roze k baarey me bataiye to AAP ﷺ ne farmaya jab tum MOHARRAM ka chand dekho to isko shumar karo aur 9 MOHARRAM ko roza rakho.🌻

💐 Maine arz kiya, kya HAZRAT MUHAMMED MUSTAFA ﷺ isi tarah roze rakhte the, to unhone farmaya, haan.🌿
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)*

🌻Imam Naw’wi رحمة الله عليه farmate hain, ye Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما ki taraf se wazahat hai k inke mazhab k mutabiq ASHOORA MOHARRAM ki nawi (9) tareekh hai aur wo iski taweel yu karte hain k ye "اظمآ الابل" se makhooz hai (ount ka pyaasa hona).🍃

❤Kyu k ahle arab pahochne k paanchwe din (sharah me teesra din likha hai) ko chaotha din kahte hain isi tarah baaqi dino ko is nisbat se kahte hain pas 9wa din 10wa ho gaya.❣
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)*

*NEXT PART ME ZARUR PADHEN*
*______________________________*

*NOTE ➖JO KHWATEEN ISLAMI AUR DEENI MALUMAAT HASIL KARNA CHAHTI HAIN WO KHWATEEN ISLAMIC GROUP ME ADD HONE KE LIYE IS NUMBER PE CONTACT KAREN.....*

             🍥👇�🍀👇�🍥

  *JAARI RAHEGA INSHA ALLAH*

           *🍥CONTINUED🍥*

                *⤵ FROM ⤵*
*👑ROSHNI SUB KE LIYE GRP👑*

*💝JOIN WHATSAPP GROUP💝*
          *📲+966 506966583🌹*

   💞🇷‌• 🇲 •🇦🇳‌🇸‌‌‌‌🇦‌‌‌‌‌‌🇷‌‌‌‌‌‌🇮💞

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

   *✈SHARE TO ALL GROUPS✈*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥
🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

           *MOHARRAM AUR*
          *YAOM-E-ASHOORA*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

             *🅿ART➖0⃣2⃣*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

🌻Imam Zarqani رحمة الله عليه farmate hain wo log raat se tareekh ka andaza lagate hain pas jab do din Ounto ko chudaye phir teesra din ajaye to wo kahte hain chaothe din me agaya agarche 3 din chara ho.❄
*(Zarqani, Jild 8, Page 117)*

🌸Lekin Ibne Muneer ne farmaya k inka qaol, jab 9wi tareekh ki subah ho to roza rakho, is baat ki khabar deta hai k unhone 10wa din puraad liya hai kyu k 9wi tareekh ko rozadaar hone k baad wo roze ki haalat me subah nahi kar sakta magar is surat me jab aane wali raat me niyyat karey aur ye 10wi raat hai.💦

🔥Aur Jamhoor Olama pahle aur pichle is baat ki taraf gaye hain k Ashoora Moharram ki 10wi tareekh hai aur ye baat farmane waalo me Hazrat Sayeed Bin Museeb, Hazrat Hasan Basri, Imam Malik, Imam Ahmed, Hazrat Ishaq, Hazrat Khalayeq رحمهم الله hain.💥

🌻Ye maslak zahir hadees se sabit hai aur lafz ka miqtezaad bhi yahi hai, isko "اظماء" se makhooz karna ba’eed hai.💎
*📗(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)*

*NEXT PART ME ZARUR PADHEN*
*______________________________*

*NOTE ➖JO KHWATEEN ISLAMI AUR DEENI MALUMAAT HASIL KARNA CHAHTI HAIN WO KHWATEEN ISLAMIC GROUP ME ADD HONE KE LIYE IS NUMBER PE CONTACT KAREN.....*

             🍥👇�🍀👇�🍥

  *JAARI RAHEGA INSHA ALLAH*

           *🍥CONTINUED🍥*

                *⤵ FROM ⤵*
*👑ROSHNI SUB KE LIYE GRP👑*

*💝JOIN WHATSAPP GROUP💝*
          *📲+966 506966583🌹*

   💞🇷‌• 🇲 •🇦🇳‌🇸‌‌‌‌🇦‌‌‌‌‌‌🇷‌‌‌‌‌‌🇮💞

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

   *✈SHARE TO ALL GROUPS✈*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥
🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

           *MOHARRAM AUR*
          *YAOM-E-ASHOORA*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

             *🅿ART➖0⃣3⃣*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

🌀 Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما ki hadees per HUZOOR NABI KAREEM ﷺ k is irshad e girami k mayine ki wajah se aetraaz hota hai k AAP ﷺ ne roza rakha to SAHABA E KIRAAM رضي الله عنهم ne arz kiya YA RASOOL ALLAH ﷺ, yahood o nasara is din ki tazeem karte hain❓

☘ To AAP ﷺ ne farmaya, jab aayinda saal aayega to hum 9wi tareekh ka roza bhi rakhenge.💎

🌸 Raawi farmate hain ke aayinda saal abhi nahi aaya tha k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ka wisaal hogaya.🌻
📕 *(Sunan Abu Daood, Raqam Al Hadees 2445)*

💦 Hazrat Qartabi farmate hain, lafz aashoora aashar se mubaligha aur tazeem ke liye badla gaya hai asal me "ليلة عاشره" (10wi raat) ki sifat hai kyu k ye ashar se makhooz hai jo ek aqd (ginti) ka naam hai, aur din iski taraf mazaaf hai jab YAOM E ASHOORA kaha jata hai to goya 10wi raat ka din kaha gaya (YAOM UL LAELATUL AASHERA).❄

💥 Lekin jab unhone isko sifat se badal diya to ismey ghalib aagayi pas maozoof ki zarurat na rahi lehaza isey hazaf kardiya is buniyaad per YAOM E ASHOORA asam me YAOM E AASHAR 10wa din hai, ye khaleel waghaera (ayema lughat) ka qaol hai.🔥

🍇 Ibne Muneer ne kaha k aksar hazraat k nazdeeq YAOM E ASHOORA MUHARRAM UL HARAAM KA 10WA DIN HAI, ishteqaaq aur tasmiya ka miqteza bhi yahi hai (yaani 10wa din hai, ashar se makhooz hai).
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)*🌸

*NEXT PART ME ZARUR PADHEN*
*______________________________*

*NOTE ➖JO KHWATEEN ISLAMI AUR DEENI MALUMAAT HASIL KARNA CHAHTI HAIN WO KHWATEEN ISLAMIC GROUP ME ADD HONE KE LIYE IS NUMBER PE CONTACT KAREN.....*

             🍥👇�🍀👇�🍥

  *JAARI RAHEGA INSHA ALLAH*

           *🍥CONTINUED🍥*

                *⤵ FROM ⤵*
*👑ROSHNI SUB KE LIYE GRP👑*

*💝JOIN WHATSAPP GROUP💝*
          *📲+966 506966583🌹*

   💞🇷‌• 🇲 •🇦🇳‌🇸‌‌‌‌🇦‌‌‌‌‌‌🇷‌‌‌‌‌‌🇮💞

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

   *✈SHARE TO ALL GROUPS✈*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥
🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

           *MOHARRAM AUR*
          *YAOM-E-ASHOORA*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

             *🅿ART➖0⃣4⃣*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

❣ *DAOR E JAHILIYAT ME ASHOORA KA ROZA❣*

🌸 Hazrat Hisham bin Arwah رضي الله عنه apne walid se aur wo Hazrat Ayesha رضي الله عنهما se riwayat karte hain k jahiliyat ke daor me quresh aashoora ka roza rakhte the aur HUZOOR NABI KAREEM ﷺ bhi daor e jahiliyat me ye roza rakhte the jab AaP ﷺ madine tayyaba tashreef laaye to aashoora ka roza rakha aur roza rakhne ka hukm bhi diya.❄

💎 Pas jab RAMZAN UL MUBARAK ka roza farz huwa to bataor farz aashoora ko chod diya, pas jo chahe iska roza rakhey aur jo chahe chod de.🌻

🍀 *Is riwayat se is waqt k tayeen ka faida haasil huwa jisme aashoora k roze ka hukm huwa aur wo madina tayyaba me tashreef laane ka ibtedayi waqt hai aur isme shak nahi k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ rabi ul awwal shareef me tashreef laaye to dusre saal k aagaaz me iska hukm huwa.🍥*

🔥 Aur dusre saal me hi MAAH E RAMZAN k roze farz ho gaye is bunyaad per aashoora k roze ka hukm sirf ek saal raha phir is roze ko nafli ibaadat karne waale ki raaye per sipurd kar diya gaya.☘

🍇 *To jin logo ko ye daawa hai k ye roza farz tha agar inka qaol sahih hai to in sahih ahadees ki wajeh se wo qarziyat mansookh hogayi.💎*

☘ Quresh aashoora ka roza rakhte the to shayad unhone pahle shariato se liya ho isi liye wo is din ki tazeem kaaba shareef k ghilaaf pahnane k zariye karte the.
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3, Page 431)*

❄ Hazrat Akrama رضي الله عنه se marwi hai inse is silsile me pucha gaya to unhone farmaya quresh ne daor e jahiliyat me koi gunaah kiya to inke dil me ye baat bahot badi mahsoos huyi pas inse kaha gaya k aashoora ka roza rakho ye iska kaffara ho jaaye.🌸

☘ Ye baat FATAH UL BAARI me farmayi hai.
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3, Page 432)*

*NEXT PART ME ZARUR PADHEN*
*______________________________*

*NOTE ➖JO KHWATEEN ISLAMI AUR DEENI MALUMAAT HASIL KARNA CHAHTI HAIN WO KHWATEEN ISLAMIC GROUP ME ADD HONE KE LIYE IS NUMBER PE CONTACT KAREN.....*

             🍥👇�🍀👇�🍥

  *JAARI RAHEGA INSHA ALLAH*

           *🍥CONTINUED🍥*

                *⤵ FROM ⤵*
*👑ROSHNI SUB KE LIYE GRP👑*

*💝JOIN WHATSAPP GROUP💝*
          *📲+966 506966583🌹*

   💞🇷‌• 🇲 •🇦🇳‌🇸‌‌‌‌🇦‌‌‌‌‌‌🇷‌‌‌‌‌‌🇮💞

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

   *✈SHARE TO ALL GROUPS✈*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥
🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

           *MOHARRAM AUR*
          *YAOM-E-ASHOORA*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

             *🅿ART➖0⃣5⃣*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

🌻 *FARIZAT E RAMZAN SE PAHLE ASHOORA K ROZE KA HUKM🌻*

🍥 Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما se marwi hai k ahle jahiliyat aashoora k din roza rakhte the aur HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne farmaya,🌸

☘ Beshaq Ashoora ALLAH k dino me se ek din hai pas jo chahe is din ka roza rakhe.💦

💥 Hazrat Salma bin Ako’o رضي الله عنهما farmati hain k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne aslam qabeele ka ek aadmi AASHOORA k din bheja aur isey hukm diya k logo me aelaan karde k jisne roza nahi rakha wo roza rakhe aur jisne khana khaya hai wo raat tak roza pura karey.💎

🍥 Mahez is din ki ta'zeem k liye din k baaqi hisse me khaane peene se rukne ka hukm diya, roza subah sadiq se shuru hota hai lehaza ye istelahi roza nahi.🍀
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3, Page 432)*

🌸 Imam nawwi رحمة الله عليه farmate hain, islam k shuru me RAMZAN ka roza farz hone se pahle AASHOORA k roze k hukm me Olama e kiraam ka ikhtelaaf hai.✨

❄ Hazrat Imam Abu Hanifa رحمة الله عليه farmate hain, us waqt wajib tha.☘

💦 Imam Shafayi رحمة الله عليه k shagirdo aur muqallideen ka do tariqe per ikhtelaaf hai inke nazdeeq mash’hoor qaol ye hai k ye roza jabse jayaz huwa sunnat raha hai aur is ummat me kabhi bhi wajib nahi raha lekin iska istehbaab takidi tha.🍀

*NEXT PART ME ZARUR PADHEN*
*______________________________*

*NOTE ➖JO KHWATEEN ISLAMI AUR DEENI MALUMAAT HASIL KARNA CHAHTI HAIN WO KHWATEEN ISLAMIC GROUP ME ADD HONE KE LIYE IS NUMBER PE CONTACT KAREN.....*

             🍥👇�🍀👇�🍥

  *JAARI RAHEGA INSHA ALLAH*

           *🍥CONTINUED🍥*

                *⤵ FROM ⤵*
*👑ROSHNI SUB KE LIYE GRP👑*

*💝JOIN WHATSAPP GROUP💝*
          *📲+966 506966583🌹*

   💞🇷‌• 🇲 •🇦🇳‌🇸‌‌‌‌🇦‌‌‌‌‌‌🇷‌‌‌‌‌‌🇮💞

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

   *✈SHARE TO ALL GROUPS✈*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥
🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

           *MOHARRAM AUR*
          *YAOM-E-ASHOORA*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

             *🅿ART➖0⃣6⃣*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

*🌸YAHOODI AUR AASHOORA KA ROZA🌸*

❄ Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما se marwi hai, farmate hain k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ madina tayyaba tashreef laaye to AAP ﷺ ne yahudiyo ko dekha k wo aashoora ka roza rakhte the AAP ﷺ ne pucha ye kya hai❓ ☘

✨ Unhone kaha ek achha din hai jisme ALLAH TA’ALA ne Hazrat Moosa عليه السلام aur Bani Isareel ko inke dushman se nijaat di chunanche AAP ﷺ ne roza rakha aur farmaya tumhari nisbat me Hazrat Moosa عليه السلام k sath zyada haq rakhta hoon chuchanche AAP ﷺ ne khud roza rakha aur roza rakhne ka hukum bhi diya.💥

🌀 *Ek riwayat me AAP ﷺ ne unse yaani yahudiyo se pucha ye din kaonsa hai jisme tum roza rakhte ho❓*

🌻 Unhone (yahudiyo) kaha ye bahot bada din hai jisme ALLAH TA’ALA ne Hazrat Moosa عليه السلام (aur aapki qaom) ko nijaat di aur isme firaon aur iski qaom ko gharq kiya pas Hazrat Moosa عليه السلام ne shukar k taor per roza rakha to hum bhi ye roza rakhte hain.💎
📕 *(Sahih Muslim, Hadees 128)*
📕 *(Musnad Ahmed, Jild 1, Page 291 – 310)*
📕 *(Al Sunan Al Kubra, Jild 4, Page 286)*
📕 *(Al Dur Al Mansoor, Jild 2, Page 69)*
📕 *(Nasab Al Raaya, Jild 2, Page 454)*
📕 *(Musnad Al Hameedi, Hadees 515)*

💠 HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne farmaya tumhare muqable me hum Hazrat Moosa عليه السلام k sath zyada haq rakhte aur zyada khareeb hain chunanche AAP ﷺ ne is din ka roza rakha aur roza rakhne ka hukum diya.
📕 *(Al Sunan Al Kubra, Jild 4, Page 286)*
📕 *(Mishkat Al Masabeeh, Hadees 2067)*
📕 *(Kanzul Ummal, Hadees 32372)*

*NEXT PART ME ZARUR PADHEN*
*______________________________*

*NOTE ➖JO KHWATEEN ISLAMI AUR DEENI MALUMAAT HASIL KARNA CHAHTI HAIN WO KHWATEEN ISLAMIC GROUP ME ADD HONE KE LIYE IS NUMBER PE CONTACT KAREN.....*

             🍥👇�🍀👇�🍥

  *JAARI RAHEGA INSHA ALLAH*

           *🍥CONTINUED🍥*

                *⤵ FROM ⤵*
*👑ROSHNI SUB KE LIYE GRP👑*

*💝JOIN WHATSAPP GROUP💝*
          *📲+966 506966583🌹*

   💞🇷‌• 🇲 •🇦🇳‌🇸‌‌‌‌🇦‌‌‌‌‌‌🇷‌‌‌‌‌‌🇮💞

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

   *✈SHARE TO ALL GROUPS✈*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥
🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

           *MOHARRAM AUR*
          *YAOM-E-ASHOORA*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

             *🅿ART➖0⃣7⃣*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

🌻 IMAM Qartabi farmate hain k shayad quresh is liye ye roza rakhte ho k isse pahli shariato jaise Hazrat Ibrahim عليه السلام ki shariat ki tarah mansoob karte ho aur HUZOOR NABI KAREEM ﷺ k roze me ehtemaal hai k wo in (quresh) ki mawafiqat me ho jaisa k HAJJ k silsile me huwa.❄

☘ Aur ALLAH TA’ALA ne AAP ﷺ ko is din k roze ki ijazat di ho k ye achha kaam hai pas jab AAP ﷺ ne hijrat ki aur yahudiyo ko roza rakhte huye paaya aur inse sawaal kiya aur roza rakha aur iska hukm bhi diya to is baat ka ehtemaal hai k yahudiyo ki dil joyi farmayi ho jis taraf inkey qible ki tarah rukh karne me inki diljoyi farmayi.🌸

💥 Jo bhi surat ho AAP ﷺ ne yahudiyo ki iqteda me ye roza nahi rakha kyu k AAP ﷺ pahle bhi ye roza rakhte the aur ye is waqt ki baat hai jab AAP ﷺ in amoor me jinse AAP ﷺ ko mana nahi kiya gaya, ahle kitaab ki mawafiqat ko pasand farmate the khususan jab kisi kaam me but parasto ki mukhalifat ho.🌱

❄ Jab MAKKAH MUKARRAMA fateh huwa aur islam ka maamla phail gaya to AAP ﷺ ne ahle kitaab ki mukhalifat ko bhi pasand farmaya jis tarah Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما ki riwayat me hai k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne jab AASHOORA ka roza rakha aur iska hukum diya to SAHABA E KIRAAM ne arz kiya.💎

💥 YA RASOOL ALLAH ﷺ yahudi aur isaayi is din ki tazeem karte hain to AAP ﷺ ne farmaya, jab aayinda saal aayega to InSha ALLAH hum 9 tareekh ka roza bhi rakhenge pas aayinda saal aane se pahle AAP ﷺ ka wisaal hogaya.💎
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)*

*NEXT PART ME ZARUR PADHEN*
*______________________________*

*NOTE ➖JO KHWATEEN ISLAMI AUR DEENI MALUMAAT HASIL KARNA CHAHTI HAIN WO KHWATEEN ISLAMIC GROUP ME ADD HONE KE LIYE IS NUMBER PE CONTACT KAREN.....*

             🍥👇�🍀👇�🍥

  *JAARI RAHEGA INSHA ALLAH*

           *🍥CONTINUED🍥*

                *⤵ FROM ⤵*
*👑ROSHNI SUB KE LIYE GRP👑*

*💝JOIN WHATSAPP GROUP💝*
          *📲+966 506966583🌹*

   💞🇷‌• 🇲 •🇦🇳‌🇸‌‌‌‌🇦‌‌‌‌‌‌🇷‌‌‌‌‌‌🇮💞

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

   *✈SHARE TO ALL GROUPS✈*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥
🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

           *MOHARRAM AUR*
          *YAOM-E-ASHOORA*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

             *🅿ART➖0⃣8⃣*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

*🌸9WI MOHARRAM KA ROZA🌸*

❄ Ek riwayat me hai k AAP ﷺ ne farmaya agar main aayinda saal zinda raha to 9 tareekh ka roza bhi rakhunga.☘
📕 *(Musannaf Ibne Abi Shaeba, Jild 3, Page 58)*
📕 *(Al Tamheed, Jild 7, Page 214)*

💎 Ye HADEES IMAM SHAFAYI aur inke shagirdo aur Hazrat Imam Ahmed, Imam Ishaaq رحمهم الله ki daleel hai jo 9 aur 10 dono dino ka roza mustahab karaar dete hain kyu k AAP ﷺ ne 10 tareekh ka roza rakha aur 9 tareekh ki niyyat farmayi.💦

🌱 *Imam Naw’wi farmate hain, baaz Olama ne farmaya shayad 10wi MOharram k sath 9wi Moharram k roze ka sabab ye ho k sirf 10 Muharram k roze k zariye yahudiyo se mushabihat na hojaye.💥*

🌻 Hadees me is baat ki taraf ishara hai aur kaha gaya hai k AASHOORA k huzool me ahtiyaat k liye ye hukm hai lekin pahli baat zyada munasib hai.❄

🌀 Imam Bizaar رحمة الله عليه ki riwayat me Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما ki hadees se hai k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne farmaya AASHOORA k din ka roza rakho aur isme yahudiyo ki mukhalifat karo (yaani) ek din pahle aur ek din baad bhi roza rakho.💎
📕 *(Musnad Ahmed, Jild 1, Page 241)*
📕 *(Sunan Al Kubra, Jild 4, Page 287)*
📕 *(Al Dar AL Mansoor, Jild 6, Page 345)*
📕 *(Kanzul Ummal, Hadees 24221-24231)*

*NEXT PART ME ZARUR PADHEN*
*______________________________*

*NOTE ➖JO KHWATEEN ISLAMI AUR DEENI MALUMAAT HASIL KARNA CHAHTI HAIN WO KHWATEEN ISLAMIC GROUP ME ADD HONE KE LIYE IS NUMBER PE CONTACT KAREN.....*

             🍥👇�🍀👇�🍥

  *JAARI RAHEGA INSHA ALLAH*

           *🍥CONTINUED🍥*

                *⤵ FROM ⤵*
*👑ROSHNI SUB KE LIYE GRP👑*

*💝JOIN WHATSAPP GROUP💝*
          *📲+966 506966583🌹*

   💞🇷‌• 🇲 •🇦🇳‌🇸‌‌‌‌🇦‌‌‌‌‌‌🇷‌‌‌‌‌‌🇮💞

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

   *✈SHARE TO ALL GROUPS✈*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥
🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

           *MOHARRAM AUR*
          *YAOM-E-ASHOORA*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

             *🅿ART➖0⃣9⃣*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

*🍀HUZOOR NABI KAREEM ﷺ KA YAOM E AASHOORA ME ROZA RAKHNA🍀*

🌻 *HUZOOR NABI KAREEM ﷺ k YAOM E AASHOORA me roza rakhne ka khulasa 4 halate hain🌸.*

1⃣ AAP ﷺ MAKKAH MUKARRAMA me roza rakhte the aur SAHABA E KIRAAM ko roza rakhne ka hukum na dete jaisa ke issey pahle Hazrat Ayesha Siddiqua رضي الله عنهما ki hadees BUKHARI WA MUSLIM aur digar muhaddiseen k hawale se pahle aapne padhi hai ke quresh jahiliyat ke daor me AASHOORA ka roza rakhte the aur NABI KAREEM ﷺ bhi is din ka roza rakhte pas jab MADINA TAYYABA tashreef laaye to AAP ﷺ ne is din ka roza rakha.💎

2⃣ HUZOOR NABI KAREEM ﷺ jab MADINA TAYYABA tashreef laaye aur ahle kitaab ko is din ka roza rakhte huye aur iski tazeem karte huye dekha aur AAP ﷺ in umoor me jinka hukm na diya gaya in logo ki mawafiqat ko pasand karte the to AAP ﷺ ne is din ka roza aur SAHABA E KIRAAM ko bhi roza rakhne ka hukm diya aur is roze ko, hukm aur targheeb k zariye takeedi banaya.💥

💦 Hatta k log apne bacho se bhi roza rakhwate the jis tarah Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما ki hadees IMAM BUKHARI O MUSLIM aur dusre hazraat k hawale se guzar chuki hai.✨

3⃣ Jab MAAH E RAMZAN k roze farz huye to HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne ye roza chod diya aur farmaya AASHOORA ALLAH TA’ALA k dino me se ek din hai jiska dil chahe wo is din roza rakhe aur jo chahe chod de, Hazrat Ayesha Siddiqua رضي الله عنهما ki guzishta hadees iski shahid hai.❄

4⃣ HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne umar k aakhri hisse me pakka irada karliya tha k AAP ﷺ sirf is din ka roza nahi rakhenge balke iske sath ek aur din bhi milayenge taake is din k roze k silsile me ahle kitaab ki mukhalifat hojaye jaisa ke hamne bayaan kiya hai.
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)*

*NEXT PART ME ZARUR PADHEN*
*______________________________*

*NOTE ➖JO KHWATEEN ISLAMI AUR DEENI MALUMAAT HASIL KARNA CHAHTI HAIN WO KHWATEEN ISLAMIC GROUP ME ADD HONE KE LIYE IS NUMBER PE CONTACT KAREN.....*

             🍥👇�🍀👇�🍥

  *JAARI RAHEGA INSHA ALLAH*

           *🍥CONTINUED🍥*

                *⤵ FROM ⤵*
*👑ROSHNI SUB KE LIYE GRP👑*

*💝JOIN WHATSAPP GROUP💝*
          *📲+966 506966583🌹*

   💞🇷‌• 🇲 •🇦🇳‌🇸‌‌‌‌🇦‌‌‌‌‌‌🇷‌‌‌‌‌‌🇮💞

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

   *✈SHARE TO ALL GROUPS✈*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥
🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

           *MOHARRAM AUR*
          *YAOM-E-ASHOORA*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

             *🅿ART➖1⃣0⃣*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

*❣AASHOORA KI FAZILAT❣*

☘ IMAM MUSLIM رحمة الله عليه ne Hazrat Abu Qatada رضي الله عنه se marfu hadees naqal ki hai k AASHOORA ka roza ek saal k gunaho ka kaffara banta hai aur 9 zilhajja ka roza do saalo ke gunaho ka kaffara hai.
📕 *(Fatah Ul Baari, Jild 4, Page 249)*

⚠ *Isse wazeh hota hai k 9 zilhajja ka roza AASHOORA k roze se afzal hai.*

🌻 Kaha gaya hai k iski hikmat ye hai k YAOM E AASHOORA Hazrat Moosa عليه السلام ki taraf mansoob hai aur YAOM UL ARFA (9 ZILHAJJA) HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ki taraf mansoob hai isi liye ye afzal hai.
WALLAHU ALAM
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)*

💥 Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما se raawi hain ke RASOOL ALLAH ﷺ jab MADINA MUNAWARA me tashreef farma huye to AAP ﷺ ne dekha k ahle yahood AASHOORA (10 MOHARRAM) ka roza rakhte hain.🌸

💠 AAP ﷺ ne inse iska sabab daryaaft farmaya to unhone bataya k is roz ALLAH TA’ALA ne Hazrat Moosa عليه السلام aur Bani Israeel ko firaon per ghalib farmadiya lehaza iski tazeem ham roza rakhkar karte hain.🌱

💎 RASOOL ALLAH ﷺ ne farmaya Hazrat Moosa عليه السلام se Qareeb tar ham hain pas AAP ﷺ ne is roz ka roza rakhne ka hukm farmadiya.❄
📕 *(Mukashifatul Quloob)*

*NEXT PART ME ZARUR PADHEN*
*______________________________*

*NOTE ➖JO KHWATEEN ISLAMI AUR DEENI MALUMAAT HASIL KARNA CHAHTI HAIN WO KHWATEEN ISLAMIC GROUP ME ADD HONE KE LIYE IS NUMBER PE CONTACT KAREN.....*

             🍥👇�🍀👇�🍥

  *JAARI RAHEGA INSHA ALLAH*

           *🍥CONTINUED🍥*

                *⤵ FROM ⤵*
*👑ROSHNI SUB KE LIYE GRP👑*

*💝JOIN WHATSAPP GROUP💝*
          *📲+966 506966583🌹*

   💞🇷‌• 🇲 •🇦🇳‌🇸‌‌‌‌🇦‌‌‌‌‌‌🇷‌‌‌‌‌‌🇮💞

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

   *✈SHARE TO ALL GROUPS✈*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥
🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

           *MOHARRAM AUR*
          *YAOM-E-ASHOORA*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

             *🅿ART➖1⃣1⃣*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

*🌱ASHOORA K DIN KUSHAADGI🌱*

🌻 Ek riwayat me hai, jo shaks AASHOORA k din apne ghar waalo per (rizq mein) farwaani karta hai ALLAH TA’ALA saal bhar isper (rizq) kushada karta hai.❄

🍀 Is Hadees ko IMAM TABRANI ne aur IMAM BAIHAQI ne “Al Shaab me Nez Fazael Ul Aoqaat me” riwayat kiya hai aur ABU AL SHAIKH ne Hazrat Ibne Masood رضي الله عنه se riwayat kiya hai, do (Imam Tabrani aur Imam Baihaqi) ne sirf Abu Sayeed رضي الله عنه se riwayat kiya.🌸

💥 Aur dusrey (Imam Baihaqi) ne “Faqat Shaab Ul Imaan” me Hazrat Jabir aur Hazrat Abu Huraera رضي الله عنهم se riwayat kiya aur farmaya k in tamaam riwayat ki asnaad zaeef hain lekin jab inko ek dusre se milaya jaaye to Quwat ka faeda haasil hota hai balkey Iraqi ne apni amaali (hadees likhana amlaa kehlata) me farmaya k Hazrat Abu Huraera رضي الله عنه ki hadees k sahih taraq hain.🌷

💎 *Ibne nasir hafiz ne inme se baaz ko SAHIH Qaraar diya✨.*

🌀 Ibne joozi ne maozuaat me Hazrat Suleman bin Abi Abdullah k tareeq se riwayat kiya aur kaha k Hazrat Suleman majhool hai aur Ibne Habban ne Suleman ko saqa raawiyo me zikr kiya pas inki raaye me ye hadees sahih hai.☘

💧 Ibne Iraqi ne kaha k is hadees k Hazrat Jabir رضي الله عنه se kayi taraq hain aur wo Imam Muslim ki sharaet per hain, Ibne Abd Albar ne isey “Al Astazkaar” me abu al Zubair ki riwayat se naqal kiya aur wo Hazrat Jabir رضي الله عنه se riwayat karte hain aur ye Sahih tareeq sanad hai.❄

🌻 Ibne Abdul Barr aur Daar Ul Khutni ne isey AL AFRAAD me jayyad sanad k sath Hazrat Omer رضي الله عنه se maoqufan riwayat kiya aur Imam Baihaqi رحمة الله عليه ne SHAAB UL IMAAN me Muhammed Bin MUntashar ki jahat se riwayat kiya, wo farmate hain k kaha jata hai aur aagey isi tarah hadees zikar ki.🍀
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)*

*NEXT PART ME ZARUR PADHEN*
*______________________________*

*NOTE ➖JO KHWATEEN ISLAMI AUR DEENI MALUMAAT HASIL KARNA CHAHTI HAIN WO KHWATEEN ISLAMIC GROUP ME ADD HONE KE LIYE IS NUMBER PE CONTACT KAREN.....*

             🍥👇�🍀👇�🍥

  *JAARI RAHEGA INSHA ALLAH*

           *🍥CONTINUED🍥*

                *⤵ FROM ⤵*
*👑ROSHNI SUB KE LIYE GRP👑*

*💝JOIN WHATSAPP GROUP💝*
          *📲+966 506966583🌹*

   💞🇷‌• 🇲 •🇦🇳‌🇸‌‌‌‌🇦‌‌‌‌‌‌🇷‌‌‌‌‌‌🇮💞

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

   *✈SHARE TO ALL GROUPS✈*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥
🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

           *MOHARRAM AUR*
          *YAOM-E-ASHOORA*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

             *🅿ART➖1⃣2⃣*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

🌸 *TABRANI SHAREEF me riwayat hai k is roz ek dirham sadqa kiya jaye to wo 7 lakh dirham sadqa dene se afzal hota hai💎.*

🌷 Hakim tashreeh farmate hain k is roz surma lagana bid’at hai IBNE QAYYAM kahte hain k surma lagane daane phute tel laganae khushbo lagane ki sab hadeese AASHOORA se mutalliq jhoote logo ne ghadi huyi hain aur issey bachna chahiye.❄

🌀 Aur yaad rakhey HAZRAT IMAM E HUSSAIN رضي الله عنه k sath is roz jo kuch waqey huwa wo is din ki azmat, rafaat, ALLAH TA’ALA k nazdeeq iska darja aur ahle bait k darjaat se is din ka ta'alluq is din ki rafaat o azmat ki wazeh shahadat hai.🌻

🌱 AAP رضي الله عنه ki is musibat ko yaad karke jo aadmi انا لله وانا اليه راجعون padhe aur iske alawa kuch juzz o fuzz k kalmaat mu se na nikale taakey RASOOL ALLAH ﷺ k tariqe ki ata’at ho usey INDALLAH wo sawaab mile jo ALLAH TA’ALA ne yu waada farmaya.✨

☘ *أُولَٰئِكَ عَلَيْهِمْ صَلَوَاتٌ مِّن رَّبِّهِمْ وَرَحْمَةٌ ۖ وَأُولَٰئِكَ هُمُ الْمُهْتَدُونَ*
🍀 *Wahi hain jinper inkey rab ki taraf se durood aur rahmat hai aur wahi hain hidayat palene wale.*
📗 *(Sureh Al Baqara, Ayat 157)*

💥 Aur jo shia logo ne khurafaat apnayi huyi hain, bain kar kar k maatam karna sog manana isse bachey ye ahle imaan k tareeqa nahi hai, agar ye munasib hota to Hazrat Imam Hussain رضي الله عنه k nana jaan HUZOOR E AKRAM NOOR E MUJASSAM ﷺ k wisaal per aisa karna laazim hota.☘

❄ Kyu k wo zyada haqdaar hote bas ALLAH TA’ALA kaafi madadgaar aur kaar saaz hai.🌸
📕 *(Mukashifatul Quloob)*

*NEXT PART ME ZARUR PADHEN*
*______________________________*

*NOTE ➖JO KHWATEEN ISLAMI AUR DEENI MALUMAAT HASIL KARNA CHAHTI HAIN WO KHWATEEN ISLAMIC GROUP ME ADD HONE KE LIYE IS NUMBER PE CONTACT KAREN.....*

             🍥👇�🍀👇�🍥

  *JAARI RAHEGA INSHA ALLAH*

           *🍥CONTINUED🍥*

                *⤵ FROM ⤵*
*👑ROSHNI SUB KE LIYE GRP👑*

*💝JOIN WHATSAPP GROUP💝*
          *📲+966 506966583🌹*

   💞🇷‌• 🇲 •🇦🇳‌🇸‌‌‌‌🇦‌‌‌‌‌‌🇷‌‌‌‌‌‌🇮💞

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

   *✈SHARE TO ALL GROUPS✈*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥
🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

           *MOHARRAM AUR*
          *YAOM-E-ASHOORA*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

               *🅿ART- LAST*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

🌸 RASOOL ALLAH ﷺ ka irshad hai k YAOM E AASHOORA 10 MOHARRAM se ek din qabl aur ek din baad ka roza rakhliya karo aur yahood ki mukhalifat karo kyu k yahood k nazdeeq sirf 10 MOHARRAM ka roza hai.🌻

🌷 Aur yaad rkahey Hazrat Imam Hussain رضي الله عنه ke sath is roz jo kuch waqiya huwa wo is din ki azmat, rafa'at, ALLAH k nazdeeq iska darja aur ahle bait ke darjaat se is din ka ta'alluq is din ki rafa'at o azmat ki waazeh shahadat hai AAPKI is musibat ko yaad karkey jo aadmi انا لله وانا اليه راجعون padhe.❄

🌀 Aur iske alawa kuch jazz fazz k kalmaat mu se na nikale taake RASOOL ﷺ ke tariqe ki ata'at ho isey indALLAH wo sawaab mile jo ALLAH ne yu waada farmaya hai,💥

☘ *أُولَٰئِكَ عَلَيْهِمْ صَلَوَاتٌ مِّن رَّبِّهِمْ وَرَحْمَةٌ ۖ وَأُولَٰئِكَ هُمُ الْمُهْتَدُونَ*

📖 *Tarjuma:*
🍀 *Wahi hain jinper inke rab ki taraf se durood aur rahmat hai aur wahi hain hidayat paalene waley.*
📗 *(Sureh Al Baqara, Ayat 157)*

💎 Aur jo shia logo ne khurafaat apnayi huyi hai, baen kar kar k maatam karna sog manana issey bache ye ahle imaan ke tareeqa nahi hai.🍀

☘ Agar ye munasib hota to Hazrat Imam e Hussain رضي الله عنه k nana jaan HUZOOR E AKRAM, NOOR E MUJASSAM ﷺ k wisaal per aisa karna laazim hota wo zyada haqdaar hote bas ALLAH kaafi o madadgaar o kaarsaaz hai.🌻

📚 *Reference*
📕 *(Mukashifatul Quloob)*

         ❗ *Khatam Shudd...* ❗

          *🌱TOPIC THE END🌱*
*______________________________*

*NOTE ➖JO KHWATEEN ISLAMI AUR DEENI MALUMAAT HASIL KARNA CHAHTI HAIN WO KHWATEEN ISLAMIC GROUP ME ADD HONE KE LIYE IS NUMBER PE CONTACT KAREN.....*

             🍥👇�🍀👇�🍥

  *NOTE...  9th 10the ROZA ZARUR RAKHEN KAL MOHARRAM KI 9 TARIKH HAI*

            *🍥COMPLETE 🍥*

                *⤵ FROM ⤵*
*👑ROSHNI SUB KE LIYE GRP👑*

*💝JOIN WHATSAPP GROUP💝*
          *📲+966 506966583🌹*

   💞🇷‌• 🇲 •🇦🇳‌🇸‌‌‌‌🇦‌‌‌‌‌‌🇷‌‌‌‌‌‌🇮💞

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

   *✈SHARE TO ALL GROUPS✈*

🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥🍀🍥

No comments:

Post a Comment